jism ki tauhin
koī dupaTTa pahiye meñ aa.e to maut bhī ban saktā hai
sharm hayā purānī thī us kī
bas jurm nayā thā
paak mohabbat meñ is saarī
chālākī kā matlab kyā thā
chhatoñ chhatoñ āñkheñ laḌne tak Thiik thā sab kuchh
lekin suune ghar meñ milnā
jism ko aage rakh kar ḳhud pīchhe chhup jaanā
phir kahnā bas ab ruk jaao
bas ab jaao
kyoñ suntā maiñ
bolo āḳhir kyoñ ruktā maiñ
jism kī vo tauhīn mirī tauhīn na thī kyā
koi dupaTTa pahiye mein aae to maut bhi ban sakta hai
sharm haya purani thi us ki
bas jurm naya tha
pak mohabbat mein is sari
chaalaki ka matlab kya tha
chhaton chhaton aankhen laDne tak Thik tha sab kuchh
lekin sune ghar mein milna
jism ko aage rakh kar KHud pichhe chhup jaana
phir kahna bas ab ruk jao
bas ab jao
kyon sunta main
bolo aaKHir kyon rukta main
jism ki wo tauhin meri tauhin na thi kya
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 2018)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.