jo bazar chahakta tha har sham
jo bāzār chahaktā thā har shaam
aaj kuchh sunsān sā lag rahā hai
gol-gappe kī dukān kā Thela
jalebī vaale ke chūlhe par se bartan
chaa.e pe chuskiyāñ lete log
koī bhī aaj nazar nahīñ aa rahā
nāliyoñ meñ laal rañg bah rahā hai
patā chalā rañg nahīñ
patā chalā rañg nahīñ
ye hindū musalmān kā ḳhuun hai
kal dharm ke naam par fasād huā
suntā huuñ
vo jalebī vaalā miyāñ thā
gol-gappe vaalā hindū thā
mujhe kaise pata chaltā
jalebiyoñ ne kabhī azaan nahīñ paḌhī
gol-gappe ne kabhī giitā nahīñ sunā.ī
jo bāzār chahaktā thā har shaam
aaj kuchh sunsān sā lag rahā hai
jo bazar chahakta tha har sham
aaj kuchh sunsan sa lag raha hai
gol-gappe ki dukan ka Thela
jalebi wale ke chulhe par se bartan
chae pe chuskiyan lete log
koi bhi aaj nazar nahin aa raha
naliyon mein lal rang bah raha hai
pata chala rang nahin
pata chala rang nahin
ye hindu musalman ka KHun hai
kal dharm ke nam par fasad hua
sunta hun
wo jalebi wala miyan tha
gol-gappe wala hindu tha
mujhe kaise pata chalta
jalebiyon ne kabhi azan nahin paDhi
gol-gappe ne kabhi gita nahin sunai
jo bazar chahakta tha har sham
aaj kuchh sunsan sa lag raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.