jo bole mara jae
vaqt ne pūchhā
kyā tum mujh ko jānte ho
haañ
kyā tum mujh ko mānte ho
naañ
kyā matlab hai
kyā matlab thā
vaqt bhī chup hai
jaane vo kab kyā bolegā
aaj kī kitnī bātoñ ko bhī
kaise kaise badalne vaale
bante bante ġham se ḳhushī se aur hairat se
apnī āñkheñ malne vaale
mīzānoñ meñ DanDī maar ke yā sachchā.ī se taulegā
aur phir maiñ bhī chup na rahūñgā
lekin
jo is vaqt mujhe bhī kahnā lāzim ho
vo kah na sakūñgā
shāyad vo sab sah na sakūñgā
haañ bha.ī le is lamhe maiñ tujh ko māntā bhī huuñ
ab ye chhoḌ ki jāntā bhī huuñ
jo tū chāhe aaj batā de
varna mujh ko abhī bhulā de
kaun ab kyā kyā kis ko sikhā.e
jo bole vo maarā jaa.e
ai 'mīrā-jī' aap ko to sab bhuul ga.e haiñ
aap yahāñ aur mujh jaise ma.atūb-e-zamāñ ko āḳhir ik-dam kyuuñ yaad aa.e
waqt ne puchha
kya tum mujh ko jaante ho
han
kya tum mujh ko mante ho
nan
kya matlab hai
kya matlab tha
waqt bhi chup hai
jaane wo kab kya bolega
aaj ki kitni baaton ko bhi
kaise kaise badalne wale
bante bante gham se KHushi se aur hairat se
apni aankhen malne wale
mizanon mein DanDi mar ke ya sachchai se taulega
aur phir main bhi chup na rahunga
lekin
jo is waqt mujhe bhi kahna lazim ho
wo kah na sakunga
shayad wo sab sah na sakunga
han bhai le is lamhe main tujh ko manta bhi hun
ab ye chhoD ki jaanta bhi hun
jo tu chahe aaj bata de
warna mujh ko abhi bhula de
kaun ab kya kya kis ko sikhae
jo bole wo mara jae
ai 'mira-ji' aap ko to sab bhul gae hain
aap yahan aur mujh jaise matub-e-zaman ko aaKHir ik-dam kyun yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.