jo hum pe guzri
log kahte haiñ ki gulshan meñ bahār aa.ī thī
bāġhbāñ ne gul-e-ḳhandāñ kī qasam khaa.ī thī
ik na.e daur ke āġhāz kā dilkash naġhma
gungunā.ī thī zabāñ vaqt kī mub.ham dhun meñ
log kahte haiñ ki ik sub.h-e-tarab aa.ī thī
apnī āġhosh meñ fardā kā fusūñ laa.ī thī
log kahte the ki ab mai-kada-e-hastī meñ
koī shākī na rahegā kisī mastāne se
tishna-kāmī kī shikāyat na karegā koī
yuuñ badal jā.egā maiḳhāne kā dastūr-e-kuhan
ab tahī jām-o-subū kī na hikāyat hogī
naġhma-zan qismat-e-arbāb-e-mohabbat hogī
log kahte haiñ ki taz.īn-e-chaman ho bhī chukī
rasm-e-ārā.ish-e-ruḳhsār-o-dahan ho bhī chukī
shāna dar gesū-e-lailā-e-vatan ho bhī chukā
dast-e-imroz se maazī kā kafan sil bhī chukā
qāfile manzil-e-maqsūd ko jā pahuñche haiñ
marhale qurb-e-lab-e-yār ke aa pahuñche haiñ
zindagī phir bhī pareshāñ sī nazar aatī hai
azmat-e-husn pashemāñ sī nazar aatī hai
dekh kar ḳhalvat-e-hastī kī ḳhamoshī yaaro
maut angusht-ba-dandāñ sī nazar aatī hai
shiddat-e-dard kā ehsās sivā hai ab bhī
sham-e-ġham aur farozāñ sī nazar aatī hai
ġhāza-e-gul liye ruḳhsār-e-ḳhizāñ aaj bhī hai
andalīboñ kā vahī tarz-e-fuġhāñ aaj bhī hai
sham.a-e-be-nūr yaqīñ tā-ba-sahar jaltī hai
ziist sharminda-e-sāhab-nazarāñ aaj bhī hai
zehn-e-mashriq pe vahī ḳhvāb-e-girāñ aaj bhī hai
chashm-e-maġhrib ba-hiqārat nigarāñ aaj bhī hai
aaj to vo bhī pashemāñ se nazar aate haiñ
jin ke kānoñ ne na.e daur ke naġhmāt sune
jin kī āñkhoñ ne na.ī sub.h ke jalve dekhe
jin ke hoñToñ pe guhar-bār tabassum machle
ye fareb-e-rah-e-mub.ham kī shikasta dīvār
kab talak qasr-e-taqaddus ko sahārā degī
ye tilism-e-shab-e-bīmār rahegā kab tak
ḳhūñ-fishāñ dīda-e-bedār rahegā kab tak
log kahte hain ki gulshan mein bahaar aai thi
baghban ne gul-e-KHandan ki qasam khai thi
ek nae daur ke aaghaz ka dilkash naghma
gungunai thi zaban waqt ki mubham dhun mein
log kahte hain ki ek subh-e-tarab aai thi
apni aaghosh mein farda ka fusun lai thi
log kahte the ki ab mai-kada-e-hasti mein
koi shaki na rahega kisi mastane se
tishna-kaami ki shikayat na karega koi
yun badal jaega maiKHane ka dastur-e-kuhan
ab tahi jam-o-subu ki na hikayat hogi
naghma-zan qismat-e-arbab-e-mohabbat hogi
log kahte hain ki tazin-e-chaman ho bhi chuki
rasm-e-araish-e-ruKHsar-o-dahan ho bhi chuki
shana dar gesu-e-laila-e-watan ho bhi chuka
dast-e-imroz se mazi ka kafan sil bhi chuka
qafile manzil-e-maqsud ko ja pahunche hain
marhale qurb-e-lab-e-yar ke aa pahunche hain
zindagi phir bhi pareshan si nazar aati hai
azmat-e-husn pasheman si nazar aati hai
dekh kar KHalwat-e-hasti ki KHamoshi yaro
maut angusht-ba-dandan si nazar aati hai
shiddat-e-dard ka ehsas siwa hai ab bhi
sham-e-gham aur farozan si nazar aati hai
ghaza-e-gul liye ruKHsar-e-KHizan aaj bhi hai
andalibon ka wahi tarz-e-fughan aaj bhi hai
shama-e-be-nur yaqin ta-ba-sahar jalti hai
zist sharminda-e-sahab-nazaran aaj bhi hai
zehn-e-mashriq pe wahi KHwab-e-giran aaj bhi hai
chashm-e-maghrib ba-hiqarat nigaran aaj bhi hai
aaj to wo bhi pasheman se nazar aate hain
jin ke kanon ne nae daur ke naghmat sune
jin ki aankhon ne nai subh ke jalwe dekhe
jin ke honTon pe guhar-bar tabassum machle
ye fareb-e-rah-e-mubham ki shikasta diwar
kab talak qasr-e-taqaddus ko sahaara degi
ye tilism-e-shab-e-bimar rahega kab tak
KHun-fishan dida-e-bedar rahega kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.