jo ilm mardon ke liye samjha gaya aab-e-hayat
jo ilm mardoñ ke liye samjhā gayā āb-e-hayāt
Thahrā tumhāre haq meñ vo zahr-e-halāhil sar-basar
jab tak jiyo tum ilm-o-dānish se raho mahrūm yaañ
aa.ī ho jaisī be-ḳhabar vaisī hī jaao be-ḳhabar
duniyā ke daanā aur hakīm is ḳhauf se larzāñ the sab
tum par mubādā ilm keī paḌ jaa.e parchhā.īñ kahīñ
aisā na ho mard aur aurat meñ rahe baaqī na farq
ta.alīm pā kar aadmī banñā tumheñ zebā nahīñ
ilm-o-hunar se rafta rafta ho ga.iiñ māyūs tum
samjhā liyā dil ko ki ham ḳhud ilm ke qābil na thiiñ
āḳhir tumhārī chup diloñ meñ ahl-e-dil ke chubh ga.ī
sach hai ki chup keī daad āḳhir be-mile rahtī nahīñ
jo ilm mardon ke liye samjha gaya aab-e-hayat
Thahra tumhaare haq mein wo zahr-e-halahil sar-basar
jab tak jiyo tum ilm-o-danish se raho mahrum yan
aai ho jaisi be-KHabar waisi hi jao be-KHabar
duniya ke dana aur hakim is KHauf se larzan the sab
tum par mubaada ilm kei paD jae parchhain kahin
aisa na ho mard aur aurat mein rahe baqi na farq
talim pa kar aadmi banna tumhein zeba nahin
ilm-o-hunar se rafta rafta ho gain mayus tum
samjha liya dil ko ki hum KHud ilm ke qabil na thin
aaKHir tumhaari chup dilon mein ahl-e-dil ke chubh gai
sach hai ki chup kei dad aaKHir be-mile rahti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.