Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mera tumhaara rishta hai

Faiz Ahmad Faiz

jo mera tumhaara rishta hai

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    maiñ kyā likhūñ ki jo merā tumhārā rishta hai

    vo āshiqī zabāñ meñ kahīñ bhī darj nahīñ

    likhā gayā hai bahut lutf-e-vasl o dard-e-firāq

    magar ye kaifiyat apnī raqam nahīñ hai kahīñ

    ye apnā ishq-e-ham-āġhosh jis meñ hijr o visāl

    ye apnā dard ki hai kab se hamdam-e-mah-o-sāl

    is ishq-e-ḳhās ko har ek se chhupā.e hue

    ''guzar gayā hai zamāna gale lagā.e hue''

    main kya likhun ki jo mera tumhaara rishta hai

    wo aashiqi ki zaban mein kahin bhi darj nahin

    likha gaya hai bahut lutf-e-wasl o dard-e-firaq

    magar ye kaifiyat apni raqam nahin hai kahin

    ye apna ishq-e-ham-aghosh jis mein hijr o visal

    ye apna dard ki hai kab se hamdam-e-mah-o-sal

    is ishq-e-KHas ko har ek se chhupae hue

    guzar gaya hai zamana gale lagae hue

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 711)
    • Publication : Educational Publishing House (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now