jo mumkin ho agar aisa
mujhe lauTā sakoge tum
mirī chhoTī sī vo duniyā
mire ehsās kī shiddat
mire alfāz kī hurmat
guzāre sang jo lamhe
mirī ḳhvāhish mire sapne
vo bechainī vo betābī
mirī āñkhoñ kī be-ḳhvābī
laboñ kī vo hañsī merī
nigāhoñ kī chamak merī
umangoñ se bharī bāteñ
hasīñ vo din javāñ rāteñ
vo rangoñ se bharī shāmeñ
bas ik duuje ko ham thāmeñ
jo mumkin ho agar aisā
ki biite din bhulā paao
to jaao haq diyā tum ko
ḳhushī se tum chale jaao
mujhe lauTa sakoge tum
meri chhoTi si wo duniya
mere ehsas ki shiddat
mere alfaz ki hurmat
guzare sang jo lamhe
meri KHwahish mere sapne
wo bechaini wo betabi
meri aankhon ki be-KHwabi
labon ki wo hansi meri
nigahon ki chamak meri
umangon se bhari baaten
hasin wo din jawan raaten
wo rangon se bhari shamen
bas ek duje ko hum thamen
jo mumkin ho agar aisa
ki bite din bhula pao
to jao haq diya tum ko
KHushi se tum chale jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.