jokham
jab kabhī maiñ apnī koī
purānī likhī nazm uThā.ūñ
to vo kuchh badlī badlī sī lagtī hai
use jitnī baar paḌho utnī hī baar
merī raa.e us ke baare meñ badalne lagtī hai
ki kabhī nazm jī ko achchhī lagtī hai
to kabhī akhartī hai
kabhī chehre pe muskān to kabhī māthe pe shikan
aane lagtī hai
is uljhan kā kyā koī hal hai
kyā maiñ apne qalam pe bharosa kar
apnī chintāon ko nazar-andāz kar
apnī nazmeñ duniyā ke havāle kar saktā huuñ
kyā maiñ ye jokham le saktā huuñ
natīja kuchh bhī ho
motī kī talāsh meñ samundar kī gahrā.iyoñ meñ
ġhota-ḳhor jaane se ḳhud ko rok nahīñ saktā
bārish ho na ho fasl uge na uge
kisān bovā.ī karnā hal chalānā chhoḌ nahīñ saktā
agar ġhaur kiyā jaa.e
to jokham vo mol le rahā hai
jo merī nazmeñ paḌhne vaalā hai
jab kabhi main apni koi
purani likhi nazm uThaun
to wo kuchh badli badli si lagti hai
use jitni bar paDho utni hi bar
meri rae us ke bare mein badalne lagti hai
ki kabhi nazm ji ko achchhi lagti hai
to kabhi akharti hai
kabhi chehre pe muskan to kabhi mathe pe shikan
aane lagti hai
is uljhan ka kya koi hal hai
kya main apne qalam pe bharosa kar
apni chintaon ko nazar-andaz kar
apni nazmen duniya ke hawale kar sakta hun
kya main ye jokham le sakta hun
natija kuchh bhi ho
moti ki talash mein samundar ki gahraiyon mein
ghota-KHor jaane se KHud ko rok nahin sakta
barish ho na ho fasl uge na uge
kisan bowai karna hal chalana chhoD nahin sakta
agar ghaur kiya jae
to jokham wo mol le raha hai
jo meri nazmen paDhne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.