josh-e-gul
vo mausam hai ki ḳhūbān-e-chaman bante-sañvarte haiñ
ye aalam hai ki jaise rañg tasvīroñ meñ bharte haiñ
hai ḳhvābīda jo sabza ā.ina-ḳhāne meñ shabnam ke
nafas-duzdīda bād-e-sub.h ke jhoñke guzarte haiñ
par-e-tūtī pe hotā hai dum-e-tā.ūs kā dhokā
havā se uḌ ke barg-e-gul jo sabze par bikharte haiñ
milā hai sabza-e-nau-ḳhez ko kyā rañg-e-zañgārī
havā lagne se jis kī zaḳhm-e-dil laala ke bharte haiñ
shagūfa-rez ho kar Dāliyāñ mad.hosh kartī haiñ
ki mai-kash jānte haiñ taaq se shīshe utarte haiñ
nazākat se adā se jhuum kar kahtī hai shāḳh-e-gul
yūñhī ik jaam pī kar rañg mastoñ ke nikharte haiñ
bashāshat kah rahī hai chehra-e-gul kī idhar dekho
yūñhī mahfil meñ hañs dete haiñ paimāne jo bharte haiñ
chaman kī baḌh ke shāḳheñ abr se kartī haiñ gul-bāzī
guloñ kī ā.ina-dārī par-e-tā.ūs karte haiñ
gumāñ hotā hai kī lashkar-kushī bād-e-bahārī ne
zirah-posh aab ho jaatā hai jab bādal guzarte haiñ
dam-e-sub.h-e-bahārī hai ruḳh-e-ḳhur par naqāb-afgan
kisī ā.īne par tār-e-nafas jaise bikharte haiñ
vahīñ jā kar thamegā kārvān-e-lāla-o-gul bhī
nasīm-e-sub.h ke jhoñke jahāñ jā kar Thaharte haiñ
nihālān-e-chaman kar leñge qabza saare aalam par
vahāñ se phir nahīñ haTte jahāñ pe paañv dharte haiñ
zamīñ par jaal phailāyā hai kosoñ zulf-e-sumbul ne
anādil in dinoñ aate hue gulshan meñ Darte haiñ
javāb-e-jashn-e-jam hai garmi-e-hañgāma-e-gulshan
ki le kar kashtī-e-mai taḳht pariyoñ ke utarte haiñ
anādil mil chuke haiñ ḳhaak meñ jo kyā ḳhabar un ko
ki shāḳheñ jhūmtī haiñ phuul turbat par bikharte haiñ
wo mausam hai ki KHuban-e-chaman bante-sanwarte hain
ye aalam hai ki jaise rang taswiron mein bharte hain
hai KHwabida jo sabza aaina-KHane mein shabnam ke
nafas-duzdida baad-e-subh ke jhonke guzarte hain
par-e-tuti pe hota hai dum-e-taus ka dhoka
hawa se uD ke barg-e-gul jo sabze par bikharte hain
mila hai sabza-e-nau-KHez ko kya rang-e-zangari
hawa lagne se jis ki zaKHm-e-dil lala ke bharte hain
shagufa-rez ho kar Daliyan madhosh karti hain
ki mai-kash jaante hain taq se shishe utarte hain
nazakat se ada se jhum kar kahti hai shaKH-e-gul
yunhi ek jam pi kar rang maston ke nikharte hain
bashashat kah rahi hai chehra-e-gul ki idhar dekho
yunhi mahfil mein hans dete hain paimane jo bharte hain
chaman ki baDh ke shaKHen abr se karti hain gul-bazi
gulon ki aaina-dari par-e-taus karte hain
guman hota hai ki lashkar-kushi baad-e-bahaari ne
zirah-posh aab ho jata hai jab baadal guzarte hain
dam-e-subh-e-bahaari hai ruKH-e-KHur par naqab-afgan
kisi aaine par tar-e-nafas jaise bikharte hain
wahin ja kar thamega karwan-e-lala-o-gul bhi
nasim-e-subh ke jhonke jahan ja kar Thaharte hain
nihaalan-e-chaman kar lenge qabza sare aalam par
wahan se phir nahin haTte jahan pe panw dharte hain
zamin par jal phailaya hai koson zulf-e-sumbul ne
anadil in dinon aate hue gulshan mein Darte hain
jawab-e-jashn-e-jam hai garmi-e-hangama-e-gulshan
ki le kar kashti-e-mai taKHt pariyon ke utarte hain
anadil mil chuke hain KHak mein jo kya KHabar un ko
ki shaKHen jhumti hain phul turbat par bikharte hain
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 118)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.