judai-e-watan
aaj vo vaqt-e-judā.ī mujhe yaad aayā hai
dil-e-afsurda har ik yaad se bhar aayā hai
ġhair mumkin hai mirī aañkh se aañsū na baheñ
zabt-e-dil ab to har ik had se guzar aayā hai
zindagī ham ko ye mālūm na thā tere liye
apnī hañstī huī duniyā ko rulānā hogā
jin ko dil dekh na saktā thā kabhī afsurda
aaj is dil ne unheñ ashk bahāte dekhā
maañ kī mamtā ne bhī lalkārā jhiñjhoḌā mujh ko
baap nam-dīda khaḌā duur se taktā thā mujhe
aur ik kone meñ vo duur khaḌī jān-e-hayāt
apne afsurda se chehre pe jo Daale thī naqāb
maiñ ne chāhā ki use baḌh ke tasallī de duuñ
sil ga.e hoñT zabāñ ho ga.ī sākit merī
maiñ na kuchh bol sakā aur na kuchh sun paayā
merī nazroñ ne na jaane kahā kyā kyā us se
kitne va.ade kiye aur kitnī uThā.īñ qasmeñ
sub.h-e-nau phuuT rahī thī ki vatan chhūT gayā
dekhte dekhte ḳhvāboñ kā fusūñ TuuT gayā
aaj wo waqt-e-judai mujhe yaad aaya hai
dil-e-afsurda har ek yaad se bhar aaya hai
ghair mumkin hai meri aankh se aansu na bahen
zabt-e-dil ab to har ek had se guzar aaya hai
zindagi hum ko ye malum na tha tere liye
apni hansti hui duniya ko rulana hoga
jin ko dil dekh na sakta tha kabhi afsurda
aaj is dil ne unhen ashk bahate dekha
man ki mamta ne bhi lalkara jhinjhoDa mujh ko
bap nam-dida khaDa dur se takta tha mujhe
aur ek kone mein wo dur khaDi jaan-e-hayat
apne afsurda se chehre pe jo Dale thi naqab
main ne chaha ki use baDh ke tasalli de dun
sil gae honT zaban ho gai sakit meri
main na kuchh bol saka aur na kuchh sun paya
meri nazron ne na jaane kaha kya kya us se
kitne wade kiye aur kitni uThain qasmen
subh-e-nau phuT rahi thi ki watan chhuT gaya
dekhte dekhte KHwabon ka fusun TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.