judai
shajar hajar pe haiñ ġham kī ghaTā.eñ chhā.ī huī
subuk-ḳhirām havāoñ ko niiñd aa.ī huī
rageñ zamīñ ke manāzir kī paḌ chalīñ Dhīlī
ye ḳhasta-hālī ye darmāndagī ye sannāTā
fazā-e-nīm-shabī bhī hai sansanāī huī
dhuāñ dhuāñ se manāzir haiñ shabnamistāñ ke
sayyāra raat kī zulfeñ haiñ rasmasā.ī huī
ye rañg tāroñ bharī raat ke tanaffus kā
ki bū-e-dard meñ har saañs hai basā.ī huī
ḳhunuk udaas fazāoñ kī āñkhoñ meñ aañsū
tire firāq kī ye Tiis hai uThā.ī huī
sukūt-e-nīm-shabī gahrā hotā jaatā hai
rageñ haiñ sīna-e-hastī kī tilmilā.ī huī
hai aaj sāz-e-navā-hā-e-ḳhūñ-chakāñ ai dost
hayāt terī judā.ī kī choT khaa.ī huī
mirī in āñkhoñ se ab niiñd parda kartī hai
jo tere panja-e-rañgīñ kī thiiñ jagā.ī huī
sarishk paale hue tere narm dāman ke
nashāt tere tabassum se jagmagā.ī huī
laTak vo gesuoñ kī jaise pech-o-tāb-e-kamand
lachak bhavoñ kī vo jaise kamāñ jhukā.ī huī
sahar kā jaise tabassum damak vo māthe kī
kiran suhāg kī biñdī kī lahlahā.ī huī
vo añkhḌiyoñ kā fusūñ ruup kī vo deviyyat
vo siina rūh-e-numū jis meñ kanmanā.ī huī
vo sej saañs kī ḳhushbū ko jis pe niiñd aa.e
vo qad gulāb kī ik shāḳh lahlahā.ī huī
vo jhilmilāte sitāre tire pasīne ke
jabīn-e-shām-e-javānī thī jagmagā.ī huī
ho jaise but-kada aazar kā bol uThne ko
vo koī baat sī goyā laboñ tak aa.ī huī
vo dhaj vo dilbarī vo kām-rūp āñkhoñ kā
sajal adāoñ meñ vo rāgnī rachā.ī huī
ho ḳhvāb-gāh meñ sho.aloñ kī karvaTeñ dam-e-sub.h
vo bhairvīñ tirī bedāriyoñ kī gaa.ī huī
vo muskurātī huī lutf-e-dīd kī sub.heñ
tirī nazar kī shuāoñ kī gudgudā.ī huī
lagī jo tere tasavvur ke narm sho.aloñ se
hayāt-e-ishq se us aañch kī tipā.ī huī
hanūz vaqt ke kānoñ meñ chahchahāhaT hai
vo chaap tere qadam kī sunī-sunā.ī huī
hanūz sīna-e-māzī meñ jagmagāhaT hai
damakte ruup kī dīpāvlī jalā.ī huī
lahū meñ Duubī umañgoñ kī maut rok zarā
harīm-e-dil meñ chalī aatī hai DhiTā.ī huī
rahegī yaad javāñ-bevgī mohabbat kī
suhāg raat kī vo chūḌiyāñ baḌhā.ī huī
ye merī pahlī mohabbat na thī magar ai dost
ubhar ga.ī haiñ vo choTeñ dabī-dabā.ī huī
supurdagī o ḳhulūs-e-nihāñ ke parde meñ
jo terī narm-nigāhī kī thiiñ bi.Thā.ī huī
uThā chukā huuñ maiñ pahle bhī hijr ke sadme
vo saañs dukhtī huī aañkh DabDabā.ī huī
ye hādsa hai ajab tujh ko pā ke kho denā
ye sāneha hai ġhazab terī yaad aa.ī huī
ajiib dard se koī pukārtā hai tujhe
galā rundhā huā āvāz thar tharrā.ī huī
kahāñ hai aaj tū ai rañg-o-nūr kī devī
añdherī hai mirī duniyā luTī-luTā.ī huī
pahuñch sakegī bhī tujh tak mirī navā-e-firāq
jo kā.enāt ke ashkoñ meñ hai nahā.ī huī
shajar hajar pe hain gham ki ghaTaen chhai hui
subuk-KHiram hawaon ko nind aai hui
ragen zamin ke manazir ki paD chalin Dhili
ye KHasta-haali ye darmandagi ye sannaTa
faza-e-nim-shabi bhi hai sansanai hui
dhuan dhuan se manazir hain shabnamistan ke
sayyara raat ki zulfen hain rasmasai hui
ye rang taron bhari raat ke tanaffus ka
ki bu-e-dard mein har sans hai basai hui
KHunuk udas fazaon ki aankhon mein aansu
tere firaq ki ye Tis hai uThai hui
sukut-e-nim-shabi gahra hota jata hai
ragen hain sina-e-hasti ki tilmilai hui
hai aaj saz-e-nawa-ha-e-KHun-chakan ai dost
hayat teri judai ki choT khai hui
meri in aankhon se ab nind parda karti hai
jo tere panja-e-rangin ki thin jagai hui
sarishk pale hue tere narm daman ke
nashat tere tabassum se jagmagai hui
laTak wo gesuon ki jaise pech-o-tab-e-kamand
lachak bhawon ki wo jaise kaman jhukai hui
sahar ka jaise tabassum damak wo mathe ki
kiran suhag ki bindi ki lahlahai hui
wo ankhDiyon ka fusun rup ki wo dewiyyat
wo sina ruh-e-numu jis mein kanmanai hui
wo sej sans ki KHushbu ko jis pe nind aae
wo qad gulab ki ek shaKH lahlahai hui
wo jhilmilate sitare tere pasine ke
jabin-e-sham-e-jawani thi jagmagai hui
ho jaise but-kada aazar ka bol uThne ko
wo koi baat si goya labon tak aai hui
wo dhaj wo dilbari wo kaam-rup aankhon ka
sajal adaon mein wo ragni rachai hui
ho KHwab-gah mein shoalon ki karwaTen dam-e-subh
wo bhairwin teri bedariyon ki gai hui
wo muskuraati hui lutf-e-did ki subhen
teri nazar ki shuaon ki gudgudai hui
lagi jo tere tasawwur ke narm shoalon se
hayat-e-ishq se us aanch ki tipai hui
hanuz waqt ke kanon mein chahchahahaT hai
wo chap tere qadam ki suni-sunai hui
hanuz sina-e-mazi mein jagmagahaT hai
damakte rup ki dipawli jalai hui
lahu mein Dubi umangon ki maut rok zara
harim-e-dil mein chali aati hai DhiTai hui
rahegi yaad jawan-bewgi mohabbat ki
suhag raat ki wo chuDiyan baDhai hui
ye meri pahli mohabbat na thi magar ai dost
ubhar gai hain wo choTen dabi-dabai hui
supurdagi o KHulus-e-nihan ke parde mein
jo teri narm-nigahi ki thin biThai hui
uTha chuka hun main pahle bhi hijr ke sadme
wo sans dukhti hui aankh DabDabai hui
ye hadsa hai ajab tujh ko pa ke kho dena
ye saneha hai ghazab teri yaad aai hui
ajib dard se koi pukarta hai tujhe
gala rundha hua aawaz thar tharrai hui
kahan hai aaj tu ai rang-o-nur ki dewi
andheri hai meri duniya luTi-luTai hui
pahunch sakegi bhi tujh tak meri nawa-e-firaq
jo kaenat ke ashkon mein hai nahai hui
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 212)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.