judai
tamām ḳhvāboñ kī āñkheñ
adhūre fasāne ke āḳhirī giit ko
tumhārī āñkhoñ se sunñā chāheñgī
dard fasurda rātoñ ke zard chehre
tumhārī parchhā.iyoñ meñ panāh DhūñDeñge
raushan yādoñ ke murda murjhā.e badan
kāñch kī moTī dhundlī dīvār meñ dafn raheñge
ummīdoñ ke janāze roz uTheñge
chīḳhoñ ke halq se zabāneñ khīñch lī jā.eñgī
aahoñ ke qad kaTvā diye jā.eñge
tumheñ purkārūñgī bhī to kaise
magar tā-umr ye nazreñ tumheñ DhūñDeñgī
tamam KHwabon ki aankhen
adhure fasane ke aaKHiri git ko
tumhaari aankhon se sunna chahengi
dard fasurda raaton ke zard chehre
tumhaari parchhaiyon mein panah DhunDenge
raushan yaadon ke murda murjhae badan
kanch ki moTi dhundli diwar mein dafn rahenge
ummidon ke janaze roz uThenge
chiKHon ke halq se zabanen khinch li jaengi
aahon ke qad kaTwa diye jaenge
tumhein purkarungi bhi to kaise
magar ta-umr ye nazren tumhein DhunDengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.