judai
yahāñ sab log kahte haiñ
judā.ī maut jaisī hai
ki zinda laash ho kar bas
bachī sāñseñ hī chaltī haiñ
ki jiinā bhuul jaatā hai
ye sāñseñ shor kartī haiñ
ye āñkheñ ḳhushk aur banjar
ki aañsū dil pe girte haiñ
ye saare log kahte haiñ
suno
ai chhoḌne vaale
yahī tum ne bhī jaanā thā
bichhaḌ ke jī na pā.ūñgī
tumhārā vahm thā saarā
faqat ye zo'm thā aur bas
maiñ bilkul pahle jaisī huuñ
tar-o-tāza haiñ din mere
mirī rāteñ sukūñ-āvar
na tum ye jaan paa.e ho
mohabbat naam kis kā hai
mohabbat meñ judā.ī kā
koī ma.anā nahīñ hotā
tumhāre saath meñ guzre
vo kuchh lamhe mohabbat ke
mire jiine ko kaafī haiñ
judā.ī maar dī maiñ ne
yahan sab log kahte hain
judai maut jaisi hai
ki zinda lash ho kar bas
bachi sansen hi chalti hain
ki jina bhul jata hai
ye sansen shor karti hain
ye aankhen KHushk aur banjar
ki aansu dil pe girte hain
ye sare log kahte hain
suno
ai chhoDne wale
yahi tum ne bhi jaana tha
bichhaD ke ji na paungi
tumhaara wahm tha sara
faqat ye zo'm tha aur bas
main bilkul pahle jaisi hun
tar-o-taza hain din mere
meri raaten sukun-awar
na tum ye jaan pae ho
mohabbat nam kis ka hai
mohabbat mein judai ka
koi mana nahin hota
tumhaare sath mein guzre
wo kuchh lamhe mohabbat ke
mere jine ko kafi hain
judai mar di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.