jugnu aur bachcha
jugnū
idhar aao ai mere nādān bachche
karūñgā maiñ do chaar bāteñ tumhīñ se
ho masrūf kyuuñ khelne meñ tum aise
suno to sahī kuchh paḌho ghar pe jā ke
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
bachcha
maiñ abbā kā jaanī maiñ amaañ kā pyārā
nahīñ ranj merā kisī ko gavārā
na jā.ūñgā paḌhne ye hai kyā ishārā
maiñ khelūñgā terā nahīñ kuchh ijārā
chamakdār kiiḌe mujhe khelne de
jugnū
ye pur-nūr chehra ye āñkheñ munavvar
ye gorā badan aur kapḌe mo.attar
laḌakpan ke din haiñ magar yuuñ na haT kar
nasīhat se merī huā kyuuñ mukaddar
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
bachcha
paḌī hai abhī umr paḌh lūñgā jugnū
ki paḌhne pe har vaqt hai merā qaabū
maiñ kyuuñ jā.ūñ paḌhne maiñ khelūñgā har sū
kahīñ aur be-par kī jā kar uḌā tū
chamakdār kiiḌe mujhe khelne de
jugnū
nahīñ pyāre bachche nahīñ khel achchhā
ki paḌhne kā hai ik yahī to zamāna
agar ibtidā se rahā shauq is kā
to aa jā.egā phir bahut jald paḌhnā
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
bachcha
pakaḌ lūñgā tujh ko jo ab tū ne chheḌā
tū aayā baḌā ilm vaalā kahīñ kā
maiñ khelūñgā khelūñgā khelūñgā har jā
mujhe khel se roktā hai parinda
chamakdār kiiḌe mujhe khelne de
jugnū
na jā.ūñgā hargiz maiñ uḌ kar yahāñ se
karoge na iqrār jab tak zabāñ se
nasīhat ko aa.egā koī kahāñ se
farishte na utreñge ab āsmāñ se
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
bachcha
yahāñ aa ke kin āfatoñ meñ phañsā maiñ
tire lecture meñ huā mubtalā maiñ
kahīñ aur hī khā.ūñgā ab havā maiñ
tū jaatā nahīñ to na jā le chalā maiñ
chamakdār kiiḌe mujhe khelne de
jugnū
maiñ tere liye go ik aafat na.ī huuñ
magar vāqa.ī rahmat allāh kī huuñ
jahāñ meñ tirā rahnumā har ghaḌī huuñ
maiñ jugnū nahīñ ilm kī raushnī huuñ
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
tujhe ek din hai chamaknā zamīñ par
hañsī mujh ko aatī hai terī nahīñ par
nazar hai mirī tere rū-e-hasīñ par
maiñ chamkūñgā ik roz terī jabīñ par
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
abhī se agar tū likhegā paḌhegā
to duniyā meñ parvān jaldī chaḌhegā
ye kab tak yūñhī geḌiyāñ tū gaḌhegā
baḌhā.egā himmat to aage baḌhegā
nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke
bachcha
jo tū ilm kī raushnī hai to aa jā
mire dil meñ mere jigar meñ samā jā
mujhe paḌhne likhne kā shaidā banā jā
agar aur kuchh hai to haT jā chalā jā
chamakdār kiiḌe mujhe khelne de
jugnu
idhar aao ai mere nadan bachche
karunga main do chaar baaten tumhin se
ho masruf kyun khelne mein tum aise
suno to sahi kuchh paDho ghar pe ja ke
nahin pyare bachche ye din khelne ke
bachcha
main abba ka jaani main aman ka pyara
nahin ranj mera kisi ko gawara
na jaunga paDhne ye hai kya ishaara
main khelunga tera nahin kuchh ijara
chamakdar kiDe mujhe khelne de
jugnu
ye pur-nur chehra ye aankhen munawwar
ye gora badan aur kapDe moattar
laDakpan ke din hain magar yun na haT kar
nasihat se meri hua kyun mukaddar
nahin pyare bachche ye din khelne ke
bachcha
paDi hai abhi umr paDh lunga jugnu
ki paDhne pe har waqt hai mera qabu
main kyun jaun paDhne main khelunga har su
kahin aur be-par ki ja kar uDa tu
chamakdar kiDe mujhe khelne de
jugnu
nahin pyare bachche nahin khel achchha
ki paDhne ka hai ek yahi to zamana
agar ibtida se raha shauq is ka
to aa jaega phir bahut jald paDhna
nahin pyare bachche ye din khelne ke
bachcha
pakaD lunga tujh ko jo ab tu ne chheDa
tu aaya baDa ilm wala kahin ka
main khelunga khelunga khelunga har ja
mujhe khel se rokta hai parinda
chamakdar kiDe mujhe khelne de
jugnu
na jaunga hargiz main uD kar yahan se
karoge na iqrar jab tak zaban se
nasihat ko aaega koi kahan se
farishte na utrenge ab aasman se
nahin pyare bachche ye din khelne ke
bachcha
yahan aa ke kin aafaton mein phansa main
tere lecture mein hua mubtala main
kahin aur hi khaunga ab hawa main
tu jata nahin to na ja le chala main
chamakdar kiDe mujhe khelne de
jugnu
main tere liye go ek aafat nai hun
magar waqai rahmat allah ki hun
jahan mein tera rahnuma har ghaDi hun
main jugnu nahin ilm ki raushni hun
nahin pyare bachche ye din khelne ke
tujhe ek din hai chamakna zamin par
hansi mujh ko aati hai teri nahin par
nazar hai meri tere ru-e-hasin par
main chamkunga ek roz teri jabin par
nahin pyare bachche ye din khelne ke
abhi se agar tu likhega paDhega
to duniya mein parwan jaldi chaDhega
ye kab tak yunhi geDiyan tu gaDhega
baDhaega himmat to aage baDhega
nahin pyare bachche ye din khelne ke
bachcha
jo tu ilm ki raushni hai to aa ja
mere dil mein mere jigar mein sama ja
mujhe paDhne likhne ka shaida bana ja
agar aur kuchh hai to haT ja chala ja
chamakdar kiDe mujhe khelne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.