jugnu
jab sūraj apnī kirnoñ kī
chādar ko sameTe
duur ufuq ke paar kahīñ chhup jaatā hai
aur chāñd sitāre
āvāra bādal ke TukḌoñ ke hamrāh
jab āñkh-micholī khelte haiñ
tab dil ke ghor añdheroñ meñ
kahīñ duur kisī gahrā.ī meñ
tirī yādoñ ke nanhe jugnū
mire dil ke is añdhiyāre ko
ujlāne kī koshish karte haiñ
jab suraj apni kirnon ki
chadar ko sameTe
dur ufuq ke par kahin chhup jata hai
aur chand sitare
aawara baadal ke TukDon ke hamrah
jab aankh-micholi khelte hain
tab dil ke ghor andheron mein
kahin dur kisi gahrai mein
teri yaadon ke nanhe jugnu
mere dil ke is andhiyare ko
ujlane ki koshish karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.