jumud
tum se be-rañgī-e-hastī kā gila karnā thā
dil pe ambār hai ḳhūñ-gashta tamannāoñ kā
aaj TuuTe hue tāroñ kā ḳhayāl aayā hai
ek mela hai pareshān sī ummīdoñ kā
chand pazhmurda bahāroñ kā ḳhayāl aayā hai
paañv thak thak ke rahe jaate haiñ māyūsī meñ
par mohsin rāh-guzāroñ kā ḳhayāl aayā hai
sāqī-o-bāda nahīñ jām-o-lab-e-jū bhī nahīñ
tum se kahnā thā ki ab aañkh meñ aañsū bhī nahīñ
tum se be-rangi-e-hasti ka gila karna tha
dil pe ambar hai KHun-gashta tamannaon ka
aaj TuTe hue taron ka KHayal aaya hai
ek mela hai pareshan si ummidon ka
chand pazhmurda bahaaron ka KHayal aaya hai
panw thak thak ke rahe jate hain mayusi mein
par mohsin rah-guzaron ka KHayal aaya hai
saqi-o-baada nahin jam-o-lab-e-ju bhi nahin
tum se kahna tha ki ab aankh mein aansu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.