junun-e-wafa
vo ḳhaak bo.e the hālāt ne sharar jis meñ
ab us meñ phuul tamannā ke khilne vaale haiñ
hue the jin ke sabab chaak chaak sīna-e-dil
vo chaak ab unhīñ hāthoñ se silne vaale haiñ
jo dost uljhe the aapas meñ dushmanoñ kī tarah
phir ek baar vo aapas meñ milne vaale haiñ
dayār-e-rūs hamārā salām-e-jāñ ho qubūl
ki rāh-e-shauq ko āsāñ banā diyā tū ne
ye daur aaj kā to mojazoñ kā daur nahīñ
magar vo mo.ajaza ham ko dikhā diyā tū ne
ki jis se duur o qarīb ek nuur phail gayā
charāġh-e-kushta ko aise jalā diyā tū ne
ye tāshqand se paiġhām-e-dil-navāz aayā
ki ibtilā kā zamāna guzar gayā yāro!
bahut rahā jise da.avā-e-sāhil-e-āshūbī
sunā ye hai ki vo dariyā utar gayā yāro!
kuchh is tarah se kisī ne diyā lahū apnā
ki arz-e-sharq kā chehra nikhar gayā yāro!
vo ḳhaak jis pe mire rahnumā ne jaañ dī hai
mirā salām usī dil-navāz ḳhaak ke naam
navā-e-ḳhāma ho mansūb aaj se pyāro
shahīd-e-amn kī rūdād-e-tābnāk ke naam
mire junūn-e-vafā kā yahī payām hai aaj
suḳhnavarān-o-adībān-e-hind-o-pāk ke naam
wo KHak boe the haalat ne sharar jis mein
ab us mein phul tamanna ke khilne wale hain
hue the jin ke sabab chaak chaak sina-e-dil
wo chaak ab unhin hathon se silne wale hain
jo dost uljhe the aapas mein dushmanon ki tarah
phir ek bar wo aapas mein milne wale hain
dayar-e-rus hamara salam-e-jaan ho qubul
ki rah-e-shauq ko aasan bana diya tu ne
ye daur aaj ka to mojazon ka daur nahin
magar wo moajaza hum ko dikha diya tu ne
ki jis se dur o qarib ek nur phail gaya
charagh-e-kushta ko aise jala diya tu ne
ye tashqand se paigham-e-dil-nawaz aaya
ki ibtila ka zamana guzar gaya yaro!
bahut raha jise dawa-e-sahil-e-ashubi
suna ye hai ki wo dariya utar gaya yaro!
kuchh is tarah se kisi ne diya lahu apna
ki arz-e-sharq ka chehra nikhar gaya yaro!
wo KHak jis pe mere rahnuma ne jaan di hai
mera salam usi dil-nawaz KHak ke nam
nawa-e-KHama ho mansub aaj se pyaro
shahid-e-amn ki rudad-e-tabnak ke nam
mere junun-e-wafa ka yahi payam hai aaj
suKHnawaran-o-adiban-e-hind-o-pak ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.