junun
fazā.eñ thak chukī haiñ
jism Dhotī gāḌiyoñ kī siskiyāñ
aur sā.eran ke bain sun sun ke
dar-o-dīvār ke nathune jhulasne lag ga.e bārūd kī bū se
badan ke chīthḌe chun chun ke ab bezār haiñ galiyāñ
vo malba
aag kā chāTā huā malba
ikaTThā karte karte ḳhāk-dāñ tang aa chuke haiñ
magar insān uktātā nahīñ hai
fazaen thak chuki hain
jism Dhoti gaDiyon ki siskiyan
aur saeran ke bain sun sun ke
dar-o-diwar ke nathune jhulasne lag gae barud ki bu se
badan ke chithDe chun chun ke ab bezar hain galiyan
wo malba
aag ka chaTa hua malba
ikaTTha karte karte KHak-dan tang aa chuke hain
magar insan uktata nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.