justuju
haqīqat kā taqāzā hai ho dil ko justujū pahle
husūl-e-mudda.ā ko chāhiye kuchh aarzū pahle
nigāheñ ḳhud hī ā.eñgī chaman meñ bahr-e-nazzāra
tire gulshan ke phūloñ meñ magar ho rañg-o-bū pahle
agar shīshe meñ sahbā hai to mai-kash mil hī jā.eñge
muhayyā mai-kade meñ chāhiye jām-o-subū pahle
samā jā.egā surma ban ke ḳhilqat kī nigāhoñ meñ
tū apnī zaat meñ paidā kare gar aabrū pahle
hare ho jā.eñge ik din tirī ummīd ke buuTe
chaman meñ āñsūoñ kī tū bahā de aabjū pahle
garebāñ chaak ho majnūñ-sifat gar shauq-e-lailā hai
phirā kar dasht-e-vahshat meñ misāl-e-qais tū pahle
ḳhudī ko gar miTā.egā ḳhudā bhī mil hī jā.egā
uThāyā chāhiye dil se hijāb-e-mā-o-tū pahle
zarūrī hai ki khul jaa.eñ qubūliyyat ke darvāze
duāoñ ko 'purī' dil se nikalne kī ho ḳhū pahle
haqiqat ka taqaza hai ho dil ko justuju pahle
husul-e-muddaa ko chahiye kuchh aarzu pahle
nigahen KHud hi aaengi chaman mein bahr-e-nazzara
tere gulshan ke phulon mein magar ho rang-o-bu pahle
agar shishe mein sahba hai to mai-kash mil hi jaenge
muhayya mai-kade mein chahiye jam-o-subu pahle
sama jaega surma ban ke KHilqat ki nigahon mein
tu apni zat mein paida kare gar aabru pahle
hare ho jaenge ek din teri ummid ke buTe
chaman mein aansuon ki tu baha de aabju pahle
gareban chaak ho majnun-sifat gar shauq-e-laila hai
phira kar dasht-e-wahshat mein misal-e-qais tu pahle
KHudi ko gar miTaega KHuda bhi mil hi jaega
uThaya chahiye dil se hijab-e-ma-o-tu pahle
zaruri hai ki khul jaen qubuliyyat ke darwaze
duaon ko 'puri' dil se nikalne ki ho KHu pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.