justuju
kab se qaid huuñ
chalte-phirte zindāñ meñ
kāñToñ kī ridā oḌhe hue
pattharoñ kā pairahan pahne hue
kab se DhūñDh rahā huuñ
des des
jañgal jañgal
sahrā sahrā
ḳhud-shanāsī kī be-panāh daulat
ḳhud ko pā lene kī ye ḳhvāhish
na jaane kab tak ujāgar rahegī
aur le jā.egī
safar-dar-safar
manzil-ba-manzil
na jaane
kahāñ kahāñ
kab se qaid hun
chalte-phirte zindan mein
kanTon ki rida oDhe hue
pattharon ka pairahan pahne hue
kab se DhunDh raha hun
des des
jangal jangal
sahra sahra
KHud-shanasi ki be-panah daulat
KHud ko pa lene ki ye KHwahish
na jaane kab tak ujagar rahegi
aur le jaegi
safar-dar-safar
manzil-ba-manzil
na jaane
kahan kahan
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 49)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.