justuju
tumhārī ḳhāmosh sulagtī sāñsoñ meñ
apne vajūd kā ehsās DhūñDhtā rahtā huuñ
maiñ āj-kal
vo sāñseñ jin kī har ūñch-nīch meñ
mere naam kā āhañg thā
vo sāñseñ jo tumhāre bechain dhaḌakte dil
se mutma.in
mere naam kā tavāf kartī thiiñ
jin kī har ik aahaT meñ merā naam gūñjtā thā
aaj un sāñsoñ meñ
vo jo merī sāñseñ thiiñ na
un meñ
mujhe apne vajūd kā ehsās nahīñ mil rahā
kyā maiñ adam ho chukā huuñ
ho chukā huuñ
itnā betāb huuñ maiñ
itnā bechain huuñ maiñ
kī merī āñkhoñ se ashk
qatār-dar-qatār
bahte haiñ
aur zamīn par se reñgte hue
tumhārī sāñsoñ meñ
mere vajūd ke ehsās
kī justujū meñ
nikal paḌte haiñ
tumhaari KHamosh sulagti sanson mein
apne wajud ka ehsas DhunDhta rahta hun
main aaj-kal
wo sansen jin ki har unch-nich mein
mere nam ka aahang tha
wo sansen jo tumhaare bechain dhaDakte dil
se mutmain
mere nam ka tawaf karti thin
jin ki har ek aahaT mein mera nam gunjta tha
aaj un sanson mein
wo jo meri sansen thin na
un mein
mujhe apne wajud ka ehsas nahin mil raha
kya main adam ho chuka hun
ho chuka hun
itna betab hun main
itna bechain hun main
ki meri aankhon se ashk
qatar-dar-qatar
bahte hain
aur zamin par se rengte hue
tumhaari sanson mein
mere wajud ke ehsas
ki justuju mein
nikal paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.