juhi
pyārī jo hai tujhe ḳhudā kī qasam
tujh meñ hai kis ke husn kā aalam
tujh meñ kis shoḳh kī sabāhat hai
kis kī zulfoñ kī tujh meñ nig.hat hai
tāzgī tū ne kis kī paa.ī hai
tū ye sūrat kahāñ se laa.ī hai
baaġh ābād hai tire dam se
terī ḳhūbī judā hai aalam se
baaġh se tujh ko toḌ laate haiñ
log sar par tujhe biThāte haiñ
nāz-bardār haiñ hasīn tire
ḳhud talabgār haiñ hasīn tire
jab tujhe āñkhoñ se lagāte haiñ
tamkanat saarī bhuul jaate haiñ
go samajhte haiñ ham raqīb hai tū
phir bhī dilkash hai ḳhush-nasīb hai tū
pyari jo hai tujhe KHuda ki qasam
tujh mein hai kis ke husn ka aalam
tujh mein kis shoKH ki sabahat hai
kis ki zulfon ki tujh mein nighat hai
tazgi tu ne kis ki pai hai
tu ye surat kahan se lai hai
bagh aabaad hai tere dam se
teri KHubi juda hai aalam se
bagh se tujh ko toD late hain
log sar par tujhe biThate hain
naz-bardar hain hasin tere
KHud talabgar hain hasin tere
jab tujhe aankhon se lagate hain
tamkanat sari bhul jate hain
go samajhte hain hum raqib hai tu
phir bhi dilkash hai KHush-nasib hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.