juz teri aankhon ke
juz tirī āñkhoñ ke kin āñkhoñ ne
lutf kā haath rakhā dard kī peshānī par
pyaar kī āñkhoñ se aañsū pochhe
narmiyāñ
lamha-e-vasl kī mānind
dil-o-jāñ meñ utartī hī chalī jaatī haiñ
hijr kī shaam hai Dhal jā.egī
vasl kā lamha gurezāñ hai pighal jā.egā
tere ruḳhsār kī dahkī huī rañgīn shafaq
aur bhī surḳh huī
tere sulge hue hoñToñ ke mahakte sho.ale
aur bhī tez hue
kab chhalak jaa.e na jaane tirī labrez vafā āñkhoñ se
mahr kī mai
kab nikal aa.e tire pyaar kā chāñd
toḌ de halqa-e-zanjīr-e-shab-o-roz
ki ye silsila-e-karb-o-alam ḳhatm to ho
aur ho jaa.e junūñ āvāra
tū mire halqa-e-āġhosh meñ aa
juz teri aankhon ke kin aankhon ne
lutf ka hath rakha dard ki peshani par
pyar ki aankhon se aansu pochhe
narmiyan
lamha-e-wasl ki manind
dil-o-jaan mein utarti hi chali jati hain
hijr ki sham hai Dhal jaegi
wasl ka lamha gurezan hai pighal jaega
tere ruKHsar ki dahki hui rangin shafaq
aur bhi surKH hui
tere sulge hue honTon ke mahakte shoale
aur bhi tez hue
kab chhalak jae na jaane teri labrez wafa aankhon se
mahr ki mai
kab nikal aae tere pyar ka chand
toD de halqa-e-zanjir-e-shab-o-roz
ki ye silsila-e-karb-o-alam KHatm to ho
aur ho jae junun aawara
tu mere halqa-e-aghosh mein aa
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 228)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.