jwala-mukkhi
nā-gahāñ
ātishīñ lau bhaḌakne lagī sabz pattoñ tale
tilmilātī, ġhazabnāk aur... mushta.il
aag
yak-laḳht betāb ho kar uThī
on kī on meñ
bel būTe, shajar...
phūl, patte, samar...
raakh kā Dher hone lage is tarah
surḳh sho.ale nigalne lage ghoñsle
(ghoñsloñ meñ paḌe gosht ke lothaḌe)
bas dhuāñ rah gayā duur tak raah meñ
aur badaltā gayā ek jañgal harā! dekhte dekhte
surmagīñ ḳhaak meñ
sabz manzar koī yuuñ jalā aañkh meñ
na-gahan
aatishin lau bhaDakne lagi sabz patton tale
tilmilati, ghazabnak aur mushtail
aag
yak-laKHt betab ho kar uThi
on ki on mein
bel buTe, shajar
phul, patte, samar
rakh ka Dher hone lage is tarah
surKH shoale nigalne lage ghonsle
(ghonslon mein paDe gosht ke lothaDe)
bas dhuan rah gaya dur tak rah mein
aur badalta gaya ek jangal hara! dekhte dekhte
surmagin KHak mein
sabz manzar koi yun jala aankh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.