kaenati gard mein barsat ki ek sham
vaise to pahāḌ zamīn kā sukḌā huā libās haiñ
lekin jab bārish hotī hai
un kī silvaToñ par ujlāhaT ug aatī hai
saañp kī dum sī saḌak par chalte hue
mausam mujhe apnī kunDlī meñ qaid kar letā hai
lahr-dar-lahr munqasim pahāḌoñ kā husn
rañgoñ kī is dhuñdhlāhaT meñ poshīda hai
jise hamārī bīmār āñkheñ kabhī mun.akis nahīñ kar pātīñ
bārish ke ba.ad
jab dhartī apne maile kapḌe utārtī hai
maiñ har shām, rāzoñ ke ta.āqub meñ
us ke dā.ūdī badan par phail jaatā huuñ
aur dīvāreñ phalāñgtā, ḳhudā ke shikasta sahn meñ
naqab lagātā huuñ
mere vajūd meñ ek andhā ḳhalā phailne lagtā hai
maiñ dekhtā huuñ
āsmān meñ koī uqaab chhapā hai
jo hamārī zindagiyoñ ke chūze uchak rahā hai
maiñ un daraḳhtoñ se muḳhātab hotā huuñ
jin kī jaḌoñ meñ chyūñTiyāñ
apnī maut par sogvār rahtī haiñ
bhīgī shāḳhoñ par sahme kavve raat bhar kāñpte rahte haiñ
kitnī be-rahm lagtī hai zindagī!
jahāñ maut barastī hai
aur lākhoñ sāñseñ be-vaq.at āvāra kuttoñ kī tarah
mar jaatī haiñ
vahāñ phir muskurātā ghanā jañgal ug aatā hai
is lā-mutanāhī vus.at meñ ham sābun par chimTe baal se
zyāda kuchh nahīñ rahte
vaqt jise, eḌī par jame mel kī tarah dho Dāltā hai
maiñ apnī za.iif sciencī quvvat se mahsūs kartā huuñ
sab se aziim dukh yahī hai
ki kā.enāt hamārī dastaras meñ nahīñ
is rañjūrī safar se be-bas lauTte hue
maiñ jūtoñ se miTTī jhāḌtā huuñ
aur khiḌkī se jhāñkte ujle manzar meñ
be-fikrī kī chaa.e piine lagtā huuñ
duur pahāḌoñ par, musalsal bārish hotī rahtī hai
waise to pahaD zamin ka sukDa hua libas hain
lekin jab barish hoti hai
un ki silwaTon par ujlahaT ug aati hai
sanp ki dum si saDak par chalte hue
mausam mujhe apni kunDli mein qaid kar leta hai
lahr-dar-lahr munqasim pahaDon ka husn
rangon ki is dhundhlahaT mein poshida hai
jise hamari bimar aankhen kabhi munakis nahin kar patin
barish ke baad
jab dharti apne maile kapDe utarti hai
main har sham, raazon ke taaqub mein
us ke daudi badan par phail jata hun
aur diwaren phalangta, KHuda ke shikasta sahn mein
naqab lagata hun
mere wajud mein ek andha KHala phailne lagta hai
main dekhta hun
aasman mein koi uqab chhapa hai
jo hamari zindagiyon ke chuze uchak raha hai
main un daraKHton se muKHatab hota hun
jin ki jaDon mein chyunTiyan
apni maut par sogwar rahti hain
bhigi shaKHon par sahme kawwe raat bhar kanpte rahte hain
kitni be-rahm lagti hai zindagi!
jahan maut barasti hai
aur lakhon sansen be-waqat aawara kutton ki tarah
mar jati hain
wahan phir muskuraata ghana jangal ug aata hai
is la-mutanahi wusat mein hum sabun par chimTe baal se
zyaada kuchh nahin rahte
waqt jise, eDi par jame mel ki tarah dho Dalta hai
main apni zaif scienci quwwat se mahsus karta hun
sab se azim dukh yahi hai
ki kaenat hamari dastaras mein nahin
is ranjuri safar se be-bas lauTte hue
main juton se miTTi jhaDta hun
aur khiDki se jhankte ujle manzar mein
be-fikri ki chae pine lagta hun
dur pahaDon par, musalsal barish hoti rahti hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 560)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.