kaf se nun ka wasl
kaaf se nuun milā
kun huā
aur phir aalam banā
ek aalam meñ hazāroñ ālamoñ kā naqsh thā
aag aur paanī
havā aur ḳhaak kā paiham milāp
ban gayā naqsh-e-vajūd-e-kā.enāt
aur phir
silsila-dar-silsila kuchh mo.ajizāt
rāz-e-rab
ramz-e-hayāt
aur ye
sadiyoñ pe phaile māh-o-sāl
aaj bhī
tasvīr-e-hairāñ ban ke
kun ko dekhte haiñ
kaf se nun mila
kun hua
aur phir aalam bana
ek aalam mein hazaron aalamon ka naqsh tha
aag aur pani
hawa aur KHak ka paiham milap
ban gaya naqsh-e-wajud-e-kaenat
aur phir
silsila-dar-silsila kuchh moajizat
raaz-e-rab
ramz-e-hayat
aur ye
sadiyon pe phaile mah-o-sal
aaj bhi
taswir-e-hairan ban ke
kun ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.