kala parwat
ye kaalā parbat
aur
zār-o-qatār rotā huā jharnā
ye bekal vādiyāñ
āñkhoñ meñ aañsū liye hue
ye pagDanDī kā moḌ
aur tum kahte ho
vīrānoñ meñ na.ī raushnī aa ga.ī
raushnī kī lau meñ zindagī aa ga.ī
lekin pūnam
ye kaalā parbat
mujhe kuchh dekhne nahīñ detā
ḳhaufnāk dhuāñ merī āñkhoñ ko
andhā kiye detā hai
tumhīñ kaho maiñ ummīd ke siine par
javānī kā ubhārā kaise dekhūñ
hasīn-o-jamīl tamannāoñ kā
shoḳh andāz kaise dekhūñ
ye kaalā parbat
merī duniyā se raushnī chhīn rahā hai
lekin kyā aisā honā lāzmī hai
un kī āñkheñ bhī to kaalī haiñ
phir un meñ athāh raushnī kyuuñ hai
shāyad kaalā parbat bhī
āñkheñ khole to us kī raushnī
merī āñkhoñ meñ samā kar
merī nigāh ko amar kar de
ye kala parbat
aur
zar-o-qatar rota hua jharna
ye bekal wadiyan
aankhon mein aansu liye hue
ye pagDanDi ka moD
aur tum kahte ho
viranon mein nai raushni aa gai
raushni ki lau mein zindagi aa gai
lekin punam
ye kala parbat
mujhe kuchh dekhne nahin deta
KHaufnak dhuan meri aankhon ko
andha kiye deta hai
tumhin kaho main ummid ke sine par
jawani ka ubhaara kaise dekhun
hasin-o-jamil tamannaon ka
shoKH andaz kaise dekhun
ye kala parbat
meri duniya se raushni chhin raha hai
lekin kya aisa hona lazmi hai
un ki aankhen bhi to kali hain
phir un mein athah raushni kyun hai
shayad kala parbat bhi
aankhen khole to us ki raushni
meri aankhon mein sama kar
meri nigah ko amar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.