kala phul
ghane bhayānak añdheroñ kī taheñ chiir kar
ik kaalā phuul nikal aayā hai
komal mulā.em nam pañkhuḌiyāñ
jaise us biptā kī maarī ke
āñsūoñ se tar gaal
jis kā patī ranbhūmī se nahīñ lauTā
chitā meñ jalte sandal kī sī mahak hai is meñ
sogvār dard kā paikar phuul
us kī ma.asūm rangat
suhānī ḳhushbū
kahāñ kho ga.ī
in Tahniyoñ shāḳhoñ ke bhītar
jīvan-ras ab bhī dauḌ rahā hai
lekin is meñ lahū kī milāvaT hai
un kā jo-yāñtsī aur huvāñ-ho
gangā aur jamunā ke maidānoñ se
apnī khetiyāñ khaliyān
biivī bachche ghar-bār
sab taj kar
in sunsān vahshat-nāk
himāliyā.ī barfānī sahrāoñ meñ aa.e
aur achānak maut ke shikanje meñ phañs ga.e
aur ab apne humakte bachchoñ ko
godiyoñ meñ khilāne
apnī chhoTī bahnoñ kā byaah rachāne
Dholak gītoñ ko sunñe
yahāñ se kabhī na vāpas jā.eñge
is dhartī meñ unhīñ kā ḳhuun jazb hai
aur ye kaalā phuul
shāyad duniyā ke sab se dard-angez alamiya kī nishānī hai
agar ye sach hai ki insān kī kahānī
aadam ke gunāh
aur hābīl ke hāthoñ qābīl ke qatl se
shurūa hotī hai
to ye gunāh aur jurm to
is se bhī baḌā hai
ki chīnī bhaa.ī hindostānī kā
hindostānī chīnī kā ḳhuun bahā.eñ
ye baat jhūTī nahīñ sachchī hai
hazār baar sau hazār baar
ki ham donoñ bhaa.ī bhaa.ī haiñ
aur jab lākhoñ karoḌoñ
ek arab insānoñ ne
hindī chīnī bhaa.ī bhaa.ī kā na.ara buland kiyā thā
to vo āvāz utnī hī sachchī thī
jitnī shākye munī kī vaanī
jo bhārat aur chiin
donoñ meñ gūñjī
aur jis ke jaadū se raakh sonā ban ga.ī
kyā krodh aur lobh
ghinā aur hinā ke upāsak
saty ko asaty sābit kar deñge
barbartā kī kaalī āñdhiyāñ
manushytā aur karunā kī
mash.aloñ ko bujhā deñgī
gāñdhī ko qatl kar do
lekin us kī mahān aatmā
sadā koh-e-nūr kī tarah
jagmagātī rahegī
ghane bhayanak andheron ki tahen chir kar
ek kala phul nikal aaya hai
komal mulaem nam pankhuDiyan
jaise us bipta ki mari ke
aansuon se tar gal
jis ka pati ranbhumi se nahin lauTa
chita mein jalte sandal ki si mahak hai is mein
sogwar dard ka paikar phul
us ki masum rangat
suhani KHushbu
kahan kho gai
in Tahniyon shaKHon ke bhitar
jiwan-ras ab bhi dauD raha hai
lekin is mein lahu ki milawaT hai
un ka jo-yantsi aur huwan-ho
ganga aur jamuna ke maidanon se
apni khetiyan khaliyan
biwi bachche ghar-bar
sab taj kar
in sunsan wahshat-nak
himaliyai barfani sahraon mein aae
aur achanak maut ke shikanje mein phans gae
aur ab apne humakte bachchon ko
godiyon mein khilane
apni chhoTi bahnon ka byah rachane
Dholak giton ko sunne
yahan se kabhi na wapas jaenge
is dharti mein unhin ka KHun jazb hai
aur ye kala phul
shayad duniya ke sab se dard-angez alamiya ki nishani hai
agar ye sach hai ki insan ki kahani
aadam ke gunah
aur habil ke hathon qabil ke qatl se
shurua hoti hai
to ye gunah aur jurm to
is se bhi baDa hai
ki chini bhai hindostani ka
hindostani chini ka KHun bahaen
ye baat jhuTi nahin sachchi hai
hazar bar sau hazar bar
ki hum donon bhai bhai hain
aur jab lakhon karoDon
ek arab insanon ne
hindi chini bhai bhai ka nara buland kiya tha
to wo aawaz utni hi sachchi thi
jitni shakye muni ki wani
jo bhaarat aur chin
donon mein gunji
aur jis ke jadu se rakh sona ban gai
kya krodh aur lobh
ghina aur hina ke upasak
saty ko asaty sabit kar denge
barbarta ki kali aandhiyan
manushyta aur karuna ki
mashalon ko bujha dengi
gandhi ko qatl kar do
lekin us ki mahan aatma
sada koh-e-nur ki tarah
jagmagati rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.