kala suraj
kitne raushan āftāboñ ko nigal kar
kaalā sūraj
raushnī ke shahr meñ dāḳhil huā
saarī kaalī quvvatoñ ne
kaale sūraj ko uThāyā dosh par
ḳhud sabhī rāhoñ ko raushan kar ga.e
ḳhud-baḳhud saare makān o kār-ḳhāne jal uThe
ḳhud-baḳhud ġhul ho ga.e saare charāġh
be-gunāhoñ ke lahū ne rāste raushan kiye
aadmī kā kyā qusūr
raat bhar ye kaalā sūraj
har ujāle kā lahū piitā rahā
kūcha kūcha raqs farmātā rahā
giit jhūTī fat.h ke ye sub.h tak gaatā rahā
raushnī ke shahr meñ
kaale sūraj par ka.ī āshufta-sar vaare ga.e
aadmī kā kuchh na bigḌā devtā maare ga.e
kitne raushan aaftabon ko nigal kar
kala suraj
raushni ke shahr mein daKHil hua
sari kali quwwaton ne
kale suraj ko uThaya dosh par
KHud sabhi rahon ko raushan kar gae
KHud-baKHud sare makan o kar-KHane jal uThe
KHud-baKHud ghul ho gae sare charagh
be-gunahon ke lahu ne raste raushan kiye
aadmi ka kya qusur
raat bhar ye kala suraj
har ujale ka lahu pita raha
kucha kucha raqs farmata raha
git jhuTi fath ke ye subh tak gata raha
raushni ke shahr mein
kale suraj par kai aashufta-sar ware gae
aadmi ka kuchh na bigDa dewta mare gae
- Book : Ak Qatra ak Samandar (Pg. 57)
- Author : Akhtar Raahi
- Publication : Faqeer M. Mistry Trust, Mumbay (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.