kali-das
jahān-e-ilm ko taslīm hai vaqār tirā
adab ke phūloñ se dāman hai lāla-zār tirā
chaman meñ yuuñ to bahār aatī jaatī rahtī hai
magar suḳhan kā hai gulshan sadā-bahār tirā
jamāl-e-husn kī duniyā meñ kho gayā hai vo
paḌhā kalām hai jis ne bhī ek baar tirā
nazar-faroz vo ma.anī vo dil-kushā alfāz
ki hai bayāz kā har saf.ha zar-nigār tirā
tirī nazīr nahīñ rif.at-e-taḳhayyul meñ
suḳhan hai arsh-e-mua.allā se ham-kanār tirā
tuyūr-o-vahshī-o-insān-o-fitrat-e-rañgīñ
tire kalām meñ yaksāñ hai sab se pyaar tirā
khulā varaq thā dil insān kā tire aage
hai tarjumānī-e-jazbāt shāhkār tirā
nashāt-e-vasl hai hāsil tire fasānoñ meñ
isī tarāne se hai saaz naġhma-bār tirā
vo tarjumānī-e-tahzīb-e-hind kī tū ne
ki yādgār-e-zamāna hai rozgār terā
diyā hai shakespeare ko maqām maġhrib ne
hai gosha gosha-e-ālam meñ haq-guzār tirā
sharāb-e-husn luTā.ī hai tū ne ḳhum ke ḳhum
rahegā kaif se sarshār bāda-ḳhvār tirā
hai tere naġhmoñ kā shaidā 'habīb' muddat se
isī sharāb meñ hai mast bāda-ḳhvār tirā
jahan-e-ilm ko taslim hai waqar tera
adab ke phulon se daman hai lala-zar tera
chaman mein yun to bahaar aati jati rahti hai
magar suKHan ka hai gulshan sada-bahaar tera
jamal-e-husn ki duniya mein kho gaya hai wo
paDha kalam hai jis ne bhi ek bar tera
nazar-faroz wo mani wo dil-kusha alfaz
ki hai bayaz ka har safha zar-nigar tera
teri nazir nahin rifat-e-taKHayyul mein
suKHan hai arsh-e-mualla se ham-kanar tera
tuyur-o-wahshi-o-insan-o-fitrat-e-rangin
tere kalam mein yaksan hai sab se pyar tera
khula waraq tha dil insan ka tere aage
hai tarjumani-e-jazbaat shahkar tera
nashat-e-wasl hai hasil tere fasanon mein
isi tarane se hai saz naghma-bar tera
wo tarjumani-e-tahzib-e-hind ki tu ne
ki yaadgar-e-zamana hai rozgar tera
diya hai shakespeare ko maqam maghrib ne
hai gosha gosha-e-alam mein haq-guzar tera
sharab-e-husn luTai hai tu ne KHum ke KHum
rahega kaif se sarshaar baada-KHwar tera
hai tere naghmon ka shaida 'habib' muddat se
isi sharab mein hai mast baada-KHwar tera
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 102)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.