kali dhup
sūraj aaj hamāre āñgan meñ
kaalī chādar oḌhe utrā hai
kaalī kirneñ
us kī rag rag se phuuT rahī haiñ
kis bedardī se
ujiyāle ko luuT rahī hai
kaalī dhuup ke zahr se āñgan ke
saare patte zard hue haiñ
komal kaliyāñ suukh ga.ī haiñ
niile piile uude phuul
kajlā.e be-rañg hue haiñ
us kī kaalī chādar jab
ik din bosīda ho jā.egī
jhalkegā sūraj kā mukhḌā
jo āñgan ko zau baḳhshegā
har dīpak ko lau baḳhshegā
suraj aaj hamare aangan mein
kali chadar oDhe utra hai
kali kirnen
us ki rag rag se phuT rahi hain
kis bedardi se
ujiyale ko luT rahi hai
kali dhup ke zahr se aangan ke
sare patte zard hue hain
komal kaliyan sukh gai hain
nile pile ude phul
kajlae be-rang hue hain
us ki kali chadar jab
ek din bosida ho jaegi
jhalkega suraj ka mukhDa
jo aangan ko zau baKHshega
har dipak ko lau baKHshega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.