kanch ki guDiya
kāñch nāzuk haiñ ḳhvāb nāzuk haiñ
tum qadam soch kar idhar rakhnā
khelne kā tujhe hai shauq magar
in chaTānoñ pe bhī nazar rakhnā
tere dil meñ hai aarzū kī kiran
terī āñkhoñ meñ ḳhvāb haiñ kal ke
tere hāthoñ meñ rañg-e-titlī haiñ
tere chehre pe azm haiñ dahke
mere āñgan kī kāñch kī guḌiyā
apnī qismat kā imtihān na le
maiñ tujhe shaad dekhnā chāhūñ
to añdheroñ kā āsmān na le
dil pe biitī jo maiñ ne sah lī hai
ḳhaar rāhoñ se terī chun lūñgī
terī har ik ḳhushī aziiz mujhe
tujh ko sansār ik nayā dūñgī
merī guḌiyā magar ye kahtī hai
mujh ko duniyā to dekh lene do
kyā huā gar mujhe bhī zaḳhm mileñ
ġham-e-hastī kā vaar sahne do
kanch nazuk hain KHwab nazuk hain
tum qadam soch kar idhar rakhna
khelne ka tujhe hai shauq magar
in chaTanon pe bhi nazar rakhna
tere dil mein hai aarzu ki kiran
teri aankhon mein KHwab hain kal ke
tere hathon mein rang-e-titli hain
tere chehre pe azm hain dahke
mere aangan ki kanch ki guDiya
apni qismat ka imtihan na le
main tujhe shad dekhna chahun
to andheron ka aasman na le
dil pe biti jo main ne sah li hai
KHar rahon se teri chun lungi
teri har ek KHushi aziz mujhe
tujh ko sansar ek naya dungi
meri guDiya magar ye kahti hai
mujh ko duniya to dekh lene do
kya hua gar mujhe bhi zaKHm milen
gham-e-hasti ka war sahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.