kanha tumhaari yaad mein hun be-qarar main
kānhā tumhārī yaad meñ huuñ be-qarār maiñ
kartī huuñ lamha lamha faqat intizār maiñ
kah kar ga.e the aaoge tum jald lauT kar
aa kar karoge ḳhatm ye tanhā.ī kā safar
kyā gopiyoñ ke saath meñ dil ko lagā liyā
kyā rukmanī ke saath ne sab kuchh bhulā diyā
kyā tum ko merī yaad bhī aatī nahīñ kabhī
furqat ye merī tum ko rulātī nahīñ kabhī
is dil meñ chāhatoñ kī tamannā liye hue
phirtī huuñ vo tumhārā dilāsa liye hue
bechain kis qadar huuñ tumhāre firāq meñ
jaltī ho sham.a jaise umīdoñ ke taak meñ
is ahd ke hī ba.ad se aashā ho tum mirī
jab se kahā thā tum ne ki rādhā ho tum mirī
tum ko qasam hai merī nā itnā rulāo tum
jitnā bhī jald ho sake bas lauT aao tum
kanha tumhaari yaad mein hun be-qarar main
karti hun lamha lamha faqat intizar main
kah kar gae the aaoge tum jald lauT kar
aa kar karoge KHatm ye tanhai ka safar
kya gopiyon ke sath mein dil ko laga liya
kya rukmani ke sath ne sab kuchh bhula diya
kya tum ko meri yaad bhi aati nahin kabhi
furqat ye meri tum ko rulati nahin kabhi
is dil mein chahaton ki tamanna liye hue
phirti hun wo tumhaara dilasa liye hue
bechain kis qadar hun tumhaare firaq mein
jalti ho shama jaise umidon ke tak mein
is ahd ke hi baad se aasha ho tum meri
jab se kaha tha tum ne ki radha ho tum meri
tum ko qasam hai meri na itna rulao tum
jitna bhi jald ho sake bas lauT aao tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.