kanTa
kyā ajab hai ki kabhī dil ke siyah-ḳhāne meñ
muskurā uTThe koī shoḳh kiran
ye balā-ḳhāna-e-tārīk munavvar ho jaa.e
toḌ de apnī ḳhamoshī jo zamīr
ġham ke tah-ḳhānoñ ke asrār khuleñ
phir na ehsās chubho.e nashtar
phir na rah rah ke jhinjhoḌe ye zamīr
aur siine pe koī bojh bhī baaqī na rahe
zehn se fikr kā ambār haTe
ik kaḌe dard kā darmāñ ho jaa.e
haa.e vo dard jo alfāz meñ Dhaltā hī nahīñ
ek kāñTā jo kisī tarah nikaltā hī nahīñ
kya ajab hai ki kabhi dil ke siyah-KHane mein
muskura uTThe koi shoKH kiran
ye bala-KHana-e-tarik munawwar ho jae
toD de apni KHamoshi jo zamir
gham ke tah-KHanon ke asrar khulen
phir na ehsas chubhoe nashtar
phir na rah rah ke jhinjhoDe ye zamir
aur sine pe koi bojh bhi baqi na rahe
zehn se fikr ka ambar haTe
ek kaDe dard ka darman ho jae
hae wo dard jo alfaz mein Dhalta hi nahin
ek kanTa jo kisi tarah nikalta hi nahin
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 56)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.