kar-e-behuda
apne hone
aur na hone meñ
ḳhushī kī ġham kī itmīnān kī tahqīq
be-masraf hai
aur ik sa.i-e-lā-hāsil ke sivā kuchh bhī nahīñ
ye zindagī
ik jañg-e-tahmīlī hai
aur maiñ
be-natīja jañg kā sar-bāz hoñ koī
jo behūda savāloñ se
azal se bar-sar-e-paikār
abad-āsār nā-paidā
maa.il
tār-e-abresham
vajūd
ik kirm kī mānind
ġhā.eb ho rahā hai dam-ba-dam
ye bhī ġhanīmat thā magar
resham ke ḳhvāhāñ hī kahāñ baaqī
kabhī ye sochtā huuñ maiñ
kisī goshe meñ baiThūñ
aur rujūa ik mard-e-kāmil se karūñ
lekin
mujhe bhī to ye pahle jānñā hogā
tifl-e-aql
kyuuñ az-balḳh tā-ba-qauniya
yuuñ ḳhvāb meñ Duubā rahā
yā phir
isī ek yaad ko unvān de duuñ ziist kā
to nau-damīda vo kalī
shāmil huī yā kī ga.ī
jo zindagī meñ
jis kī ḳhushbū ne mire ghar ko mahak se bhar diyā
tūtī-e-ḳhush-rañg-o-ilhāñ kī chahak se bhar diyā
maiñ ik muhaqqiq bhī rahā huuñ
haft-sāla daura-e-tahqīq kā
hāsil yahī hai
sar-ba-zānū dam-ba-ḳhud huuñ
āḳhirash sādiq-hidāyat
ḳhud-kushī se chāhtā kyā thā
natīja sifr hai
ye kār-e-behūda
yūñhī hotā rahā hai
be-sabab hotā rahegā
apne hone
aur na hone mein
KHushi ki gham ki itminan ki tahqiq
be-masraf hai
aur ek sai-e-la-hasil ke siwa kuchh bhi nahin
ye zindagi
ek jang-e-tahmili hai
aur main
be-natija jang ka sar-baz hon koi
jo behuda sawalon se
azal se bar-sar-e-paikar
abad-asar na-paida
tar-e-abresham
wajud
ek kirm ki manind
ghaeb ho raha hai dam-ba-dam
ye bhi ghanimat tha magar
resham ke KHwahan hi kahan baqi
kabhi ye sochta hun main
kisi goshe mein baiThun
aur rujua ek mard-e-kaamil se karun
lekin
mujhe bhi to ye pahle jaanna hoga
tifl-e-aql
kyun az-balKH ta-ba-qauniya
yun KHwab mein Duba raha
ya phir
isi ek yaad ko unwan de dun zist ka
to nau-damida wo kali
shamil hui ya ki gai
jo zindagi mein
jis ki KHushbu ne mere ghar ko mahak se bhar diya
tuti-e-KHush-rang-o-ilhan ki chahak se bhar diya
main ek muhaqqiq bhi raha hun
haft-sala daura-e-tahqiq ka
hasil yahi hai
sar-ba-zanu dam-ba-KHud hun
aaKHirash sadiq-hidayat
KHud-kushi se chahta kya tha
natija sifr hai
ye kar-e-behuda
yunhi hota raha hai
be-sabab hota rahega
- Book : Na Mau'ud (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.