kar-e-jahan daraaz hai
koī aisā shaġhl to ho ziist karne kā
jise vājib sā koī naam de deñ
ḳhvāh is meñ qissa-e-rañg-e-parīda kī
koī tamsīl DhūñDeñ yā kisī ik yaad ko
vo ism de deñ jo guzarte vaqt kā
koī bhalā unvān tai paa.e
koī misra.a kaheñ taaza jo apne aap meñ kāmil nazar aa.e
agar aisā nahīñ mumkin to koī qahqaha
lambā sā puurā qahqaha phir
ham kisī ik shaġhl meñ mashġhūl rahnā chāhte haiñ
koi aisa shaghl to ho zist karne ka
jise wajib sa koi nam de den
KHwah is mein qissa-e-rang-e-parida ki
koi tamsil DhunDen ya kisi ek yaad ko
wo ism de den jo guzarte waqt ka
koi bhala unwan tai pae
koi misra kahen taza jo apne aap mein kaamil nazar aae
agar aisa nahin mumkin to koi qahqaha
lamba sa pura qahqaha phir
hum kisi ek shaghl mein mashghul rahna chahte hain
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 99)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.