kar-e-nau
kuchh intizār aur karo sabr-e-nāgavār aur karo
kuchh apne saroñ ko qalam garebāñ ko chaak aur karo
apne andar kī garmī-e-ḳhūñ sambhāl kar rakkho
añdheroñ meñ saḳht pahroñ meñ zarā ye jaur aur saho
fazā palaTne meñ jaur thamne meñ vaqt hai shāyad
sub.h hone meñ vaqt hai yā sirf aisā lagtā hai
dard siine meñ uTh uTh ke nākāmiyoñ ko rotā hai
saañs barf ban kar ke dhamniyoñ meñ bahtī hai
apnī qismat pe hālat pe dam nikaltā hai
vo ghaḌī hai ki aao socheñ ki kyuuñ huā aisā
ye bhī mumkin hai ki fazā palaT na sake
sub.h jo hotī dikhtī hai kabhī bhī ho na sake
hamārī maut se pahle hamārī sūrat badal na sake
hinā jo pattharoñ pe khiltī thī khil na sake
agar ye yuuñ hai to kyā us kī zimmedārī apnī hai
ham devtā kā daano kā farq bhuul chuke haiñ
kaḌī davā kā mīThe zahr kā farq bhuul chuke haiñ
ham bhuul chuke haiñ daġhā ke muskurāte chehre ko
ham apnī zaat ke ta.hzīb-o-sanskār bhuul chuke haiñ
hamīñ jo ham nahīñ haiñ to ġhairoñ se kyā gila karnā
uTho ki ḳhud ko pahchāno apnā hausla joḌo
ye salāḳheñ ye beḌiyāñ ye hathkaḌī toḌo
ye buzdilī ye nākāmiyāñ ye naal chhoḌo
uTho sab saath mil ke yalġhār chheḌo
zamāna dekhnā tum ko phir se salām Thokegā
phir us ke baa'd sub.h ḳhud-ba-ḳhud tulūa hogī
ye duniyā tumhāre sāmne phir se nigūñ hogī
fazā meñ chaar sū phir tairne lagegī ḳhush-hālī
aur na.e sire se tārīḳh-e-hind phir shurūa hogī
abhī bhī vaqt hai uTho kār-e-nau kī ibtidā kar deñ
kuchh intizar aur karo sabr-e-nagawar aur karo
kuchh apne saron ko qalam gareban ko chaak aur karo
apne andar ki garmi-e-KHun sambhaal kar rakkho
andheron mein saKHt pahron mein zara ye jaur aur saho
faza palaTne mein jaur thamne mein waqt hai shayad
subh hone mein waqt hai ya sirf aisa lagta hai
dard sine mein uTh uTh ke nakaamiyon ko rota hai
sans barf ban kar ke dhamniyon mein bahti hai
apni qismat pe haalat pe dam nikalta hai
wo ghaDi hai ki aao sochen ki kyun hua aisa
ye bhi mumkin hai ki faza palaT na sake
subh jo hoti dikhti hai kabhi bhi ho na sake
hamari maut se pahle hamari surat badal na sake
hina jo pattharon pe khilti thi khil na sake
agar ye yun hai to kya us ki zimmedari apni hai
hum dewta ka dano ka farq bhul chuke hain
kaDi dawa ka miThe zahr ka farq bhul chuke hain
hum bhul chuke hain dagha ke muskuraate chehre ko
hum apni zat ke tahzib-o-sanskar bhul chuke hain
hamin jo hum nahin hain to ghairon se kya gila karna
uTho ki KHud ko pahchano apna hausla joDo
ye salaKHen ye beDiyan ye hathkaDi toDo
ye buzdili ye nakaamiyan ye nal chhoDo
uTho sab sath mil ke yalghaar chheDo
zamana dekhna tum ko phir se salam Thokega
phir us ke ba'd subh KHud-ba-KHud tulua hogi
ye duniya tumhaare samne phir se nigun hogi
faza mein chaar su phir tairne lagegi KHush-haali
aur nae sire se tariKH-e-hind phir shurua hogi
abhi bhi waqt hai uTho kar-e-nau ki ibtida kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.