kar-nama
aziim kaam karūñ koī ek din sochā
ki rahtī duniyā meñ apnā bhī naam rah jaa.e
magar vo kaam ho kyā zehn meñ nahīñ aayā
payambarī to ziyāñ jaan kā hai daavā kyā
tū jaane suulī pe chaḌhnā ho yā chaleñ aare
ki zinda aag kī lapToñ kī nazr honā paḌe
ḳhayāl aayā funūn-e-latīfa Dheroñ haiñ
sanam-tarāshī hai naġhmagarī ki naqqāshī
ye sab hī dā.imī shohrat kā ik vasīla haiñ
magar na lafzoñ pe qudrat na rañg qaabū meñ
phir ik zariya siyāsat hai naam paane kā
alāva naam ke mohre banā ke logoñ ko
bisāt-e-arz pe shatranj khel sakte haiñ
magar ye fan bhī mirī dastaras se bāhar thā
phir aur kyā ho bahut kuchh ḳhayāl dauḌāyā
alāva in ke mujhe aur kuchh nahīñ sūjhā
zamāne baad samundar kināre baiThā thā
aziim shai hai samundar bhī mere dil ne kahā
vo kyā tarīqa ho maiñ is kā bhaag ban jā.ūñ
samajh meñ aayā nahīñ koī rāsta bhī jab
to jhunjhlā ke samundar meñ kar diyā peshāb
azim kaam karun koi ek din socha
ki rahti duniya mein apna bhi nam rah jae
magar wo kaam ho kya zehn mein nahin aaya
payambari to ziyan jaan ka hai dawa kya
tu jaane suli pe chaDhna ho ya chalen aare
ki zinda aag ki lapTon ki nazr hona paDe
KHayal aaya funun-e-latifa Dheron hain
sanam-tarashi hai naghmagari ki naqqashi
ye sab hi daimi shohrat ka ek wasila hain
magar na lafzon pe qudrat na rang qabu mein
phir ek zariya siyasat hai nam pane ka
alawa nam ke mohre bana ke logon ko
bisat-e-arz pe shatranj khel sakte hain
magar ye fan bhi meri dastaras se bahar tha
phir aur kya ho bahut kuchh KHayal dauDaya
alawa in ke mujhe aur kuchh nahin sujha
zamane baad samundar kinare baiTha tha
azim shai hai samundar bhi mere dil ne kaha
wo kya tariqa ho main is ka bhag ban jaun
samajh mein aaya nahin koi rasta bhi jab
to jhunjhla ke samundar mein kar diya peshab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.