karwan-e-hayat
ye kaun kahtā hai insāñ kā kārvān-e-hayāt
palaT ke aane ko hai be-gunāhī kī jānib
vahī gunāh vahī ma.asiyat vahī badbū
vahī hai dard vahī karvaTeñ vahī pahlū
vahī fasād vahī shar hī tamarrud hai
dimāġh-o-dil pe musallat vahī tashaddud hai
ye kaun kahtā hai insāñ kā kārvān-e-hayāt
palaT ke aane ko hai be-gunāhī kī jānib
maiñ dekhtā huuñ ki insāñ kā kārvān-e-hayāt
ujālā chhoḌ chalā hai siyāhī kī jānib
siyāhī jaise samundar kī thaah meñ pinhāñ
siyāhī jaise ḳham-e-dūd-e-āh meñ pinhāñ
siyāhī jaise ghaTā-Top raat se zāhir
siyāhī jaise munāfiq kī baat se zāhir
maiñ dekhtā huuñ ki insāñ kā kārvān-e-hayāt
ujālā chhoḌ chalā hai siyāhī kī jānib
maiñ jāntā huuñ ki insāñ kā kārvān-e-hayāt
ravāñ-davāñ to hai lekin tabāhī kī jānib
tabāhī jis meñ jahannam kā ġhaar poshīda
tabāhī jis meñ hai har fard zahar-noshīda
tabāhī jis meñ hai har ghaat ghaat meñ jumūt
tabāhī jis meñ nihāñ maut kā jumūd-o-sukūt
maiñ jāntā huuñ ki insāñ kā kārvān-e-hayāt
ravāñ-davāñ to hai lekin tabāhī kī jānib
ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat
palaT ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib
wahi gunah wahi masiyat wahi badbu
wahi hai dard wahi karwaTen wahi pahlu
wahi fasad wahi shar hi tamarrud hai
dimagh-o-dil pe musallat wahi tashaddud hai
ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat
palaT ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib
main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat
ujala chhoD chala hai siyahi ki jaanib
siyahi jaise samundar ki thah mein pinhan
siyahi jaise KHam-e-dud-e-ah mein pinhan
siyahi jaise ghaTa-Top raat se zahir
siyahi jaise munafiq ki baat se zahir
main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat
ujala chhoD chala hai siyahi ki jaanib
main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat
rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib
tabahi jis mein jahannam ka ghaar poshida
tabahi jis mein hai har fard zahar-noshida
tabahi jis mein hai har ghat ghat mein jumut
tabahi jis mein nihan maut ka jumud-o-sukut
main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat
rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.