kash aisa na saneha hota
Interesting Fact
(Written after being moved by a fire)
kaash vo lamha ḳhvāb sā hotā
kaash vo lamha vahm sā hotā
kaash vo lamha dūsrā hotā
bachche T v hī dekhte hote
chaa.e bhī ghar meñ ban rahī hotī
pyāliyāñ khankhanā rahī hotīñ
chehre chehre pe zindagī hotī
ik dhamākā ajiib kyoñ hotā
ek jaltā makān kyoñ hotā
ek ujḌā jahān kyoñ hotā
sāneha ik bayān kyoñ hotā
kisī bachche kī chīḳh kyoñ ghuTtī
kisī aurat kī maañg kyoñ luTtī
kisī kī muTThī sard kyoñ hotī
koī chehra udaas kyoñ hotā
koī ḳhauf-o-hirās kyoñ hotā
reza reza hayāt kyoñ hotī
zindagī be-libās kyoñ hotī
zindagī kī kalī khilī miltī
shāḳh-e-ummīd bhī harī miltī
tāzgī har taraf bichhī miltī
ik tajassus sā le ke āñkhoñ meñ
log us samt kis liye jaate
aur kyoñ lauTte larazte hue
kaash vo lamha ḳhvāb sā hotā
kaash vo lamha vahm sā hotā
kaash aisā na sāneha hotā
kash wo lamha KHwab sa hota
kash wo lamha wahm sa hota
kash wo lamha dusra hota
bachche T w hi dekhte hote
chae bhi ghar mein ban rahi hoti
pyaliyan khankhana rahi hotin
chehre chehre pe zindagi hoti
ek dhamaka ajib kyon hota
ek jalta makan kyon hota
ek ujDa jahan kyon hota
saneha ek bayan kyon hota
kisi bachche ki chiKH kyon ghuTti
kisi aurat ki mang kyon luTti
kisi ki muTThi sard kyon hoti
koi chehra udas kyon hota
koi KHauf-o-hiras kyon hota
reza reza hayat kyon hoti
zindagi be-libas kyon hoti
zindagi ki kali khili milti
shaKH-e-ummid bhi hari milti
tazgi har taraf bichhi milti
ek tajassus sa le ke aankhon mein
log us samt kis liye jate
aur kyon lauTte larazte hue
kash wo lamha KHwab sa hota
kash wo lamha wahm sa hota
kash aisa na saneha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.