kash
kaash maiñ ek bāñsurī hotā
apne hoñToñ pe le ke koī mujhe
mere dil kī chhupī huī āvāz
saarī duniyā meñ muntashir kartā
aur phir giit meñ badal jaate
merī ma.asūm zindagī ke ḳhvāb
kaash hotā maiñ arsh kā mahtāb
apnī hī raushnī ke ziine se
haule haule zamīñ pe aa jaatā
phir zamīñ kī bahār meñ kho kar
kisī bachche ke saath mil jaatā
aur vo bachcha gale lagā ke mujhe
muskurā kar ḳhushī se ye kahtā
are tum to mire hī bhaa.ī ho
kis taraf kho ga.e the batlāo
kaash hotā maiñ ik shagufta gulāb
aur shāḳhoñ se uḌ ke thoḌī der
kisī muflis udaas maañ ke qarīb
us ke āñgan meñ jā ke ye kahtā
maañ baḌī der se udaas ho kyoñ
maiñ tumhāre hī dil kā TukḌā huuñ
mujh ko apne gale lagā lo zarā
aur mirī baat par vo muflis maañ
ġham-e-aulād bhuul kar mujh ko
chuum letī gale lagā letī
kash main ek bansuri hota
apne honTon pe le ke koi mujhe
mere dil ki chhupi hui aawaz
sari duniya mein muntashir karta
aur phir git mein badal jate
meri masum zindagi ke KHwab
kash hota main arsh ka mahtab
apni hi raushni ke zine se
haule haule zamin pe aa jata
phir zamin ki bahaar mein kho kar
kisi bachche ke sath mil jata
aur wo bachcha gale laga ke mujhe
muskura kar KHushi se ye kahta
are tum to mere hi bhai ho
kis taraf kho gae the batlao
kash hota main ek shagufta gulab
aur shaKHon se uD ke thoDi der
kisi muflis udas man ke qarib
us ke aangan mein ja ke ye kahta
man baDi der se udas ho kyon
main tumhaare hi dil ka TukDa hun
mujh ko apne gale laga lo zara
aur meri baat par wo muflis man
gham-e-aulad bhul kar mujh ko
chum leti gale laga leti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.