kash
kaash samjhautoñ ko
kāñch kī chūḌiyoñ kī tarah
piis kar khāyā jā saktā
tanhā.ī ke zahr ko
shiv ke niil kañTh kī tarah
gale meñ rakh kar jiyā jā saktā
kaash
pyaas ko snow-white ke
nisf seb kī tarah
halaq meñ dabā kar maut kī niiñd kā
abadī vaqfa liyā jā saktā
magar ye samjhaute to
mere ḳhuun ko
zahr kī tarah
niilā karte jā re haiñ
merī sāñsoñ ko apne baar se mustaqil
adh-muā karte jā rahe haiñ
kash samjhauton ko
kanch ki chuDiyon ki tarah
pis kar khaya ja sakta
tanhai ke zahr ko
shiw ke nil kanTh ki tarah
gale mein rakh kar jiya ja sakta
kash
pyas ko snow-white ke
nisf seb ki tarah
halaq mein daba kar maut ki nind ka
abadi waqfa liya ja sakta
magar ye samjhaute to
mere KHun ko
zahr ki tarah
nila karte ja re hain
meri sanson ko apne bar se mustaqil
adh-mua karte ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.