kash
maiñ āgahī ke is bhayānak daur se guzar rahī huuñ
jahāñ tamām lafz khokhle
aur be-ma.anī lagte haiñ
jahāñ tamām sach jhuuT lagte haiñ
jahāñ insānoñ ke naqāb meñ
shaitān dikhā.ī de jaate haiñ
jahāñ har baat uuprī aur be-maqsad
sī lagtī hai
jahāñ har rishta matlabī aur ḳhud-ġharaz
dikhā.ī detā hai
kaash
ek baar phir se duniyā husain nazar aane lage
kaash
ek sub.h maiñ so ke uThūñ
to merī aañkh vahāñ khule
jahāñ maiñ ne pahlā ḳhvāb dekhā thā
main aagahi ke is bhayanak daur se guzar rahi hun
jahan tamam lafz khokhle
aur be-mani lagte hain
jahan tamam sach jhuT lagte hain
jahan insanon ke naqab mein
shaitan dikhai de jate hain
jahan har baat upri aur be-maqsad
si lagti hai
jahan har rishta matlabi aur KHud-gharaz
dikhai deta hai
kash
ek bar phir se duniya husain nazar aane lage
kash
ek subh main so ke uThun
to meri aankh wahan khule
jahan main ne pahla KHwab dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.