kash
maiñ shahr-e-tamannā kī tārāj nagrī ke malbe meñ
lāchār-o-tanhā
kabhī is khañDar par kabhī us khañDar tak
bhaTaktā huā
DhūñDtā phir rahā huuñ
apne ma.asūm mismār ḳhvāboñ kā malba
tabhī ik taraf ko nazar jo ga.ī to dikhā.ī diyā
TuuTe phūTe jalā.e ga.e kuchh makāñ
ek mīnār-e-masjid
kalash ek mandir kā auñdhā paḌā hai
kuredā to malbe ke nīche merā ḳhvāb
sāñjhī virāsat kā ek saaz bhī dafn thā
mujhe yaad aayā
mere ammāñ abbā ne is saaz par
kitne ulfat ke naġhme bajā kar sikhā.e the ham ko
javānī meñ
is saaz kī narm dilkash dhunoñ par
baḌe josh aur hausle se
tarāne mohabbat ke gaay the ham ne
magar phir
rūh-parvar azānoñ kī āvāz
aur mandiroñ ke bhajan
dilkashī bhuul kar
apne ġhalbe kā elaan bante ga.e
shor itnā baḌhā
sāz-e-ulfat kī āvāz bhī dab ga.ī
shor se josh baḌhtā gayā
hosh jaatā rahā
aur phir ye huā
aaj shahr-e-tamannā kī hālat hai jo
jis taraf dekhiye raakh hī raakh hai
aur maiñ
apnī mīrās ko
apnī sāñjhī virāsat ke TuuTe hue saaz ko
apne dil se lagā.e
dil-shikasta-o-giryāñ khaḌā huuñ
kyā karūñ
is ko malbe meñ hī dafn kar duuñ
mujh se ye to nahīñ hogā
aisā kartā huuñ TuuTe hue saaz ko
apnī aulād ko sauñp duuñ
bas isī aas par
isī ummīd meñ
mere bachche phir us saaz ko joḌ kar
giit ulfat ke phir gungunāne lageñ
nafratoñ ko miTāne lageñ
kaash ye ho sake
main shahr-e-tamanna ki taraj nagri ke malbe mein
lachaar-o-tanha
kabhi is khanDar par kabhi us khanDar tak
bhaTakta hua
DhunDta phir raha hun
apne masum mismar KHwabon ka malba
tabhi ek taraf ko nazar jo gai to dikhai diya
TuTe phuTe jalae gae kuchh makan
ek minar-e-masjid
kalash ek mandir ka aundha paDa hai
kureda to malbe ke niche mera KHwab
sanjhi wirasat ka ek saz bhi dafn tha
mujhe yaad aaya
mere amman abba ne is saz par
kitne ulfat ke naghme baja kar sikhae the hum ko
jawani mein
is saz ki narm dilkash dhunon par
baDe josh aur hausle se
tarane mohabbat ke gay the hum ne
magar phir
ruh-parwar azanon ki aawaz
aur mandiron ke bhajan
dilkashi bhul kar
apne ghalbe ka elan bante gae
shor itna baDha
saz-e-ulfat ki aawaz bhi dab gai
shor se josh baDhta gaya
hosh jata raha
aur phir ye hua
aaj shahr-e-tamanna ki haalat hai jo
jis taraf dekhiye rakh hi rakh hai
aur main
apni miras ko
apni sanjhi wirasat ke TuTe hue saz ko
apne dil se lagae
dil-shikasta-o-giryan khaDa hun
kya karun
is ko malbe mein hi dafn kar dun
mujh se ye to nahin hoga
aisa karta hun TuTe hue saz ko
apni aulad ko saunp dun
bas isi aas par
isi ummid mein
mere bachche phir us saz ko joD kar
git ulfat ke phir gungunane lagen
nafraton ko miTane lagen
kash ye ho sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.