kaw kaw saKHt-jaani
kaav kaav saḳht-jānī
aur aisī tanhā.ī
jazba-e-be-iḳhtiyārī
aur aisī tanhā.ī
ātish-e-ḳhāmosh meñ jaltā rahā
aur koī vasl ko aayā nahīñ
vahshat aisī thī
ki sahrā bhī jalā vo bhī jalā
thī vo dāġhoñ kī bahār
thā charāġhāñ raat meñ
aur qais thā tasvīr meñ
phir bhī uryāñ hī thā vo
us ne kabhī kapḌe na pahne
ḳhushbū bhare ḳhushiyāñ bhare
bū-e-gul meñ us kā naala thā nihāñ
aur mahfil ke charāġhoñ meñ thā
us ke sachche ishq kā sachchā dhuāñ
vo thā tanhā.ī meñ
aur tanhā.ī bhī aisī dardnāk
qais apne soz-e-tanhā.ī meñ hī jal gayā
be-mahābā jal gayā
kaav kaav saḳht-jānī
aur aisī tanhā.ī na pūchh
kaw kaw saKHt-jaani
aur aisi tanhai
jazba-e-be-iKHtiyari
aur aisi tanhai
aatish-e-KHamosh mein jalta raha
aur koi wasl ko aaya nahin
wahshat aisi thi
ki sahra bhi jala wo bhi jala
thi wo daghon ki bahaar
tha charaghan raat mein
aur qais tha taswir mein
phir bhi uryan hi tha wo
us ne kabhi kapDe na pahne
KHushbu bhare KHushiyan bhare
bu-e-gul mein us ka nala tha nihan
aur mahfil ke charaghon mein tha
us ke sachche ishq ka sachcha dhuan
wo tha tanhai mein
aur tanhai bhi aisi dardnak
qais apne soz-e-tanhai mein hi jal gaya
be-mahaba jal gaya
kaw kaw saKHt-jaani
aur aisi tanhai na puchh
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 18)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.