kawish
nayā din roz mujh ko kitnā pīchhe pheñk detā hai
ye aaj andāza hotā hai ki maiñ āhista āhista
hazāroñ miil kī duurī pe tum se aa gayā aur ab
dinoñ sāloñ mahīnoñ ko ikaTThā kar ke gum-gashta
dayār-e-hū meñ baiThā huuñ na kuchh aage na kuchh pīchhe
sivā kuchh vasvasoñ ke kuchh ḳhasāroñ ke kamar-basta
kahīñ chalne ko aage jis kā vāzeh kuchh tasavvur hī nahīñ koī
hamāre sab masā.il jin kā ham par bojh hai itnā
hamārī kisht-e-be-māya haiñ is sahrā meñ kyā boyā
bagūloñ ke sivā kuchh garm jhoñkoñ ke sivā ham ne
chalo ik tez dhāre meñ kahīñ par Daal deñ kashtī
latāfat ThanDe paanī kī kareñ mahsūs kuchh thoḌā bikhar jaa.eñ
hañseñ be-vaj.h yūñhī ġhul machā.eñ be-sabab dauḌeñ
uḌeñ un bādaloñ ke pīchhe aur mīloñ nikal jaa.eñ
naya din roz mujh ko kitna pichhe phenk deta hai
ye aaj andaza hota hai ki main aahista aahista
hazaron mil ki duri pe tum se aa gaya aur ab
dinon salon mahinon ko ikaTTha kar ke gum-gashta
dayar-e-hu mein baiTha hun na kuchh aage na kuchh pichhe
siwa kuchh waswason ke kuchh KHasaron ke kamar-basta
kahin chalne ko aage jis ka wazeh kuchh tasawwur hi nahin koi
hamare sab masail jin ka hum par bojh hai itna
hamari kisht-e-be-maya hain is sahra mein kya boya
bagulon ke siwa kuchh garm jhonkon ke siwa hum ne
chalo ek tez dhaare mein kahin par Dal den kashti
latafat ThanDe pani ki karen mahsus kuchh thoDa bikhar jaen
hansen be-wajh yunhi ghul machaen be-sabab dauDen
uDen un baadalon ke pichhe aur milon nikal jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.