kawish-e-be-sud
jab saarā manzar dekh chuke
to ḳhvāboñ meñ kho jaanā kyā
mire man kā panchhī pāgal hai
jo ab bhī rasta dekhtā hai
mire dil kā bachcha ziddī bachcha
aas lagā.e jiitā hai
is man ko maiñ samjhā.ūñ kyā
jo rasta terā rasta nahīñ
ab is raste par jaanā kyā
jo manzil, manzil terī nahīñ
ab us kā khoj lagānā kyā
lekin mere dil kā bachcha ziddī bachcha
jab sūrat-e-hāl samajhtā nahīñ
use rah rah kar samjhānā kyā
jab sara manzar dekh chuke
to KHwabon mein kho jaana kya
mere man ka panchhi pagal hai
jo ab bhi rasta dekhta hai
mere dil ka bachcha ziddi bachcha
aas lagae jita hai
is man ko main samjhaun kya
jo rasta tera rasta nahin
ab is raste par jaana kya
jo manzil, manzil teri nahin
ab us ka khoj lagana kya
lekin mere dil ka bachcha ziddi bachcha
jab surat-e-haal samajhta nahin
use rah rah kar samjhana kya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 509)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.