kawish-e-nakaam
maiñ ne sochā thā ki ik roz bhulā dūñgā tujhe
apne ehsās se dhaḌkan se miTā dūñgā tujhe
ek bhūlā huā afsāna banā kar tujh ko
qabr meñ apne ḳhayāloñ kī dabā dūñgā tujhe
par ye merā hī ahd mujh se mukammal na huā
aur koshish mirī koshish ke sivā kuchh na rahī
dil kī ḳhvāhish ki ye maazī ko miTā Dālegā
ek nākām sī kāvish ke sivā kuchh na rahī
merī mahfil meñ bhī tū hai mirī ḳhalvat meñ bhī tū
merī sāñsoñ meñ bhī tū hai mirī hasrat meñ bhī tū
merī bechainī meñ tū hai mirī rāhat meñ bhī tū
mere andāz-e-junūñ meñ mirī vahshat meñ bhī tū
aaj bhī tū mirī rag rag meñ basā rahtā hai
tū hī shāmil hai masarrat meñ tabassum meñ mire
merī har raah kahīñ tujh se hī mil jaatī hai
terī bātoñ ke sivā kyā hai takallum meñ mire
maiñ ne ab chhoḌ diyā tujh ko bhulāne kā junūñ
aisī koshish nahīñ karnī jo mukammal hī na ho
zindagī jiinī hai ab is ke sahāre hī mujhe
chāhe vo tujh se milā pyaar kā ik pal hī na ho
main ne socha tha ki ek roz bhula dunga tujhe
apne ehsas se dhaDkan se miTa dunga tujhe
ek bhula hua afsana bana kar tujh ko
qabr mein apne KHayalon ki daba dunga tujhe
par ye mera hi ahd mujh se mukammal na hua
aur koshish meri koshish ke siwa kuchh na rahi
dil ki KHwahish ki ye mazi ko miTa Dalega
ek nakaam si kawish ke siwa kuchh na rahi
meri mahfil mein bhi tu hai meri KHalwat mein bhi tu
meri sanson mein bhi tu hai meri hasrat mein bhi tu
meri bechaini mein tu hai meri rahat mein bhi tu
mere andaz-e-junun mein meri wahshat mein bhi tu
aaj bhi tu meri rag rag mein basa rahta hai
tu hi shamil hai masarrat mein tabassum mein mere
meri har rah kahin tujh se hi mil jati hai
teri baaton ke siwa kya hai takallum mein mere
main ne ab chhoD diya tujh ko bhulane ka junun
aisi koshish nahin karni jo mukammal hi na ho
zindagi jini hai ab is ke sahaare hi mujhe
chahe wo tujh se mila pyar ka ek pal hi na ho
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 102)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.