kaya ka karb
us ne dekhā
vo akelā apnī āñkhoñ kī adālat meñ
khaḌā thā
be-kashish auqāt meñ bāñTī huī sadiyāñ
kisī jallād ke qadmoñ kī āvāzeñ musalsal
sun rahī thiiñ
aane vaale mausamoñ ke nauhagar muddat se
apnī bebasī kā zahr pī kar
mar chuke the
us ne chāhā
band kamre kī salāḳheñ toḌ kar bāhar nikal jaa.e
magar shāḳhoñ se murjhā.e hue pattoñ kī sūrat
haath us ke bāzuoñ se
gir chuke the
us ne dekha
wo akela apni aankhon ki adalat mein
khaDa tha
be-kashish auqat mein banTi hui sadiyan
kisi jallad ke qadmon ki aawazen musalsal
sun rahi thin
aane wale mausamon ke nauhagar muddat se
apni bebasi ka zahr pi kar
mar chuke the
us ne chaha
band kamre ki salaKHen toD kar bahar nikal jae
magar shaKHon se murjhae hue patton ki surat
hath us ke bazuon se
gir chuke the
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-271 p-259)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.