kab se mahw-e-safar ho
sājida kun yugoñ kī masāfat sameTe hue
is bayābāñ meñ yūñhī bhaTaktī rahogī
in bagūloñ ke hamrāh yuuñ raqs kartī rahogī
kitne sahrāoñ meñ tum ne phoḌe haiñ paañv ke chhāle
kitnī bedār rātoñ se māñgā hai tum ne ḳhirāj-e-tamannā
sājida kuchh kaho
hijr kī kin zamānoñ meñ ashkoñ kī maalā piroī
kin hisāboñ chukāyā qarz-e-junūñ
kaun se marhaloñ se guzar kar banā ruuh kā pairahan
kis tarah jaañ se guzre haiñ tūfān-e-ġham
kis tarah nand āñdhī kī yalġhār meñ
tum ne apnī ridā ko sambhālā
kaise yaḳh-basta tanhā.iyoñ meñ
jashn-e-rūh-o-dil-o-jāñ manāyā
shola-e-ārzū meñ
kaise harf-o-navā ko tapāyā
jāgtī raat kī tīrgī ko
kis tarah matl.a-e-nūr-e-yazdāñ banāyā
kitne sajdoñ se apnī jabīñ ko sajāyā
sājida
dard ke rāstoñ par
kab se mahv-e-safar ho
tum ne in rahguzāroñ kī banjar zamīñ meñ
kitne raftār-o-guftār ke gul khilā.e
is aqūbat-kada kī siyāhī meñ
kitne charāġh-e-tamannā jalā.e
sājida
is tag-o-dau se tum ne
kyā kabhī chehra-e-zindagī ko sañvārā
kyā kisī dil meñ koī sitāra utārā
kyā zamāne kī raftār badlī
kyā kisī tapte sahrā ke zarroñ ko kundan banāyā
kitne zaḳhmoñ pe insāñ ke marham lagāyā
zulm kī dāstāñ ko kabhī harf-e-shīrīñ banāyā
sājida
shaam hai zindagī kī
thak ke so jā.ūñ sab haav bhuul jaao
kaḌī dhuup ke kos-dar-kos
agle zamānoñ ke naqsh-e-qadam haiñ
rañg-o-mausam badalne lagā hai
tum masīhā nahīñ
thak ke so jaao
raqs-e-junūñ bhuul jaao
sajida kun yugon ki masafat sameTe hue
is bayaban mein yunhi bhaTakti rahogi
in bagulon ke hamrah yun raqs karti rahogi
kitne sahraon mein tum ne phoDe hain panw ke chhaale
kitni bedar raaton se manga hai tum ne KHiraj-e-tamanna
sajida kuchh kaho
hijr ki kin zamanon mein ashkon ki mala piroi
kin hisabon chukaya qarz-e-junun
kaun se marhalon se guzar kar bana ruh ka pairahan
kis tarah jaan se guzre hain tufan-e-gham
kis tarah nand aandhi ki yalghaar mein
tum ne apni rida ko sambhaala
kaise yaKH-basta tanhaiyon mein
jashn-e-ruh-o-dil-o-jaan manaya
shola-e-arzu mein
kaise harf-o-nawa ko tapaya
jagti raat ki tirgi ko
kis tarah matla-e-nur-e-yazdan banaya
kitne sajdon se apni jabin ko sajaya
sajida
dard ke raston par
kab se mahw-e-safar ho
tum ne in rahguzaron ki banjar zamin mein
kitne raftar-o-guftar ke gul khilae
is aqubat-kada ki siyahi mein
kitne charagh-e-tamanna jalae
sajida
is tag-o-dau se tum ne
kya kabhi chehra-e-zindagi ko sanwara
kya kisi dil mein koi sitara utara
kya zamane ki raftar badli
kya kisi tapte sahra ke zarron ko kundan banaya
kitne zaKHmon pe insan ke marham lagaya
zulm ki dastan ko kabhi harf-e-shirin banaya
sajida
sham hai zindagi ki
thak ke so jaun sab haw bhul jao
kaDi dhup ke kos-dar-kos
agle zamanon ke naqsh-e-qadam hain
rang-o-mausam badalne laga hai
tum masiha nahin
thak ke so jao
raqs-e-junun bhul jao
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 437)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.